Re: wo jo hath bhar ka tha fasla | | Maaloom hay aana mushkil hay Koi aas lagana mushkil hay
Munder peh ..tez hawoon main Koi deep jalana mushkil hay
Lekin dil ko....... samjhanay ko Kuch der ka dard mitanay ko
Ya preet ka ....joat jaganay ko Kuch jhoot sahi bahlanay ko
Kah jaa'o keh na tarsa'ogay
Waada karo,... tum aa'ogay
Ab sham main milna mushkil hay ZAkhmoon ka silna mushkil hay
Jaltay gulshan.... kay daman peh Ab phool ka khilna mushkil hay
Lekin koi khawab...... sajanay ko Do pal ko neend .ko dilanay ko
Bulbul ka raag......... sunanay ko Mali ka bagh........ bachanay ko
Kah jaa'o keh phir mil jaa'ogay
Waada karo,....... tum aa'ogay
Ab toot kay..... rona mushkil hay Ab chain say sona mushkil hay
Ab yad kay pakay dhagoon main Koi naam parona. mushkil hay
Ghairoon say. bhed chupanay ko Dunya kay haush.... uranay ko
Dhikhlawa hi sahi. muskanay ko Koi pyas ka munder dhanay ko
Kah jaa'o keh preet nibha'ogay
Waada karo,....... tum aa'ogay
Last edited by saharey2020; 05-08-2008 at 04:20 PM.
|