Hum kaisay lagtay hain? | | Hum kaisay lagtay hain!
Jub shaer sunatay hain
Tiri chahat panay ko
Jub haath hilatay hain
Hum kaisay lagtay hain!
Jub hijr ki ratoon main
kuch baykal say ho kar
Tiri khushboo panay ko
Tiri batain sun nay ko
Jub khawab main aatay hain
Hum kaisay lagtay hain.
Jub yad ki dunya main
tu khoee hoti hay
Sapnoon ki barish main
Tu bheegi hoti hay
Hum nikal kar tiray dil say
Jub samnay aatay hain
Tiri resham zulfoon main
Jub sajatay hain
Such bol zara us waqt
Hum kaisay lagtay hain
Woh kaisa lagta hay
jub chandni ratoon main
ik soch samandar main
Toofan uchaltay hain
Karwat karwat bay chan
Gulnar tabeeat main
Kuch hijr kay sadmay jub
Ik aag lagatay hain
Phir pani bun kar hum
Aankhoon main aatay hain
Kuch aag bujhatay hain
Kuch pyas bhujatay hain
Such bol zara us waqt
Hum kaisay lagtay hain
Jub aankh churatay hain!
Jub shaer sunatay hain!
Last edited by saharey2020; 05-08-2008 at 12:32 AM.
|