wo jo hath bhar ka tha fasla | | meray humsafar, tujhay kya khabar
yeh jo waqt hai kisi dhoop chaa-on’ k khail sa
isay daikhtay, isay jhailtay
meri aan’kh gard se att gai
meray khuwab rait mai kho gaye
meray hath barf se ho gaye
meray bay khabar tere naam per
wo jo phool khiltay thay hon’t per
wo jo deep jaltay thay baam per,
wo nahi rahey
wo nahi rahey k jo aik rabt tha darmayan wo bikhar gaya
wo hawa chali
wo kisi sham aisee hawa chali
k jo barg thay sar-e-shakh-e-Jaan’, wo gira diye
wo jo harf darj thay rait per, wo ura diye
wo jo raaston ka yakeen thay
wo jo manzilon k ameen thay
wo nishan-e-pa bhi mita diye!
maire humsafar, hai wohi safar
magar aik moor k farq se
tere hath se maire hath tak
wo jo hath bhar ka tha fasla
kai mosamon mai badal gaya
usey naptey, Usey kat tay
mera sara waqt nikal gaya
__________________ Mayri serkashi bhi thi munfarid
mayri ajzi bhi kamal thi
main ana parast bala ka tha
so gira to apny hi paon main... |