ik nazam | | HUMAREY DERMIYAN IS WAQT JO CHAHAT KA MAUSAM HAI... tumhain main kis tarah dekhoon! dareecha hai dhanak ka aur ik baadal ki chilman hai aur is chilman kay peechay, chup kay bathay kuch sitaareay hain. sitaaron ki nigaahon main ajab si aik uljhan hai woh hum ko dekhtay hain aur phir aapas main kehtay hain " yeh manzar aasman ka tha yahan per kis tarah ponhcha! zameen'zaadon ki qismat main yeh jannat kis tarah aai??" sitaaron ki yeh hairani samajh main aanay wali hai keh aisa dilnasheen manzar kisi nay kam hi dekha hai humarey dermiyan is waqt jo chahat ka mausam hai isay lafzon main likhain to kitaabain jagmagaa uthain jo sochain is kay barey main to roohain gungunaa uthain yeh tum ho meray pehlu main keh khuab-e-zindagi taa'beer ki surat main aaya hai? yeh khiltay phool sa chehra jo apni muskurahat say jahan main roshni ker day lahu main tazgi bhar day badan ik dhair resham ka jo haathon main nahi rukta anokhi si koi khushbu k aankhain bund ho jayen chupa kajal bhari aankhon main koi raaz gehra hai bohat nazdeek say dekhain to cheezain phail jati hain so marey chaar soo do jheel si aankhon ka pehra hai tumhain main kis tarah dekhoon!!!
Last edited by JawadG; 05-02-2008 at 12:56 AM.
|