Mohabbat khaas hoti hai
Kuch khaas diloon main hoti hai
Eik khaas nazar ki khaas enayat
Kuch khaas lamhoon main hoti hai
Din aur raat se beniyaaz
Her lamha ujala kerti hai
Lafzoon ki mutaaj naheen hai
Jazboon ki talib hai yeh
Khaas diloon ka
Khaas taraana
Ban ker laboon per sajti hai
Mohabbat khhas hoti hai
Khaas zarooratmandoon ki
Khaas zaroorat hoti hai
Bay loos
Bay gharz
Shaffaf chandni ki tarah
Pakeeza mohabbat hoti hai
Aay kaash!
Kay her dil khaas rahay
Aur yunhi
Mohabbat aabaad rahay...!!!
Yeh Jo Hum Loog Kartay Hain Muhabbat Yeh Nahe Hote..
Yeh jo hum loog kartay hain
Muhabbat yeh nahe hote
Yeh kaise muhabbat hay k
Uss k mil janay ke khuwahish karna
Ussay apna bana nay ke khuwahish karna
Aur na milnay per mar janay ke khuwahish karna
Muhabbat yeh nahe hote
Muhabbat tu yeh hay k
Uss k laboon per muskurahat anay ke khuwahish karna
Uss ke dil main jaga panay ke khuwahish karna
Uss k sapnay poray ho janay ke khuwahish karna
Ussay uss ke muhabbat mil janay ke khuwahish karna
Yahe tu muhabbat hay
Yeh jo hum loog kartay hain
Muhabbat yeh nahe hote
Issay kehtay hain khud gherzi
Muhabbat yeh nahin hoote...!!!