Undesha....by Amjad I.Amjad | | Zaroori Nahi Hay Zaroori Nahi Hay Jo Sahil Ki Geeli Khunk Rait Per Haath May Haath Dayker Safar Aur Talatum K Qissay Suna_ay JazeerooN' HawaooN Aur Un_dekhay Mausam Aur AnkhooN Say Ojhal KinarooN Pay Bikhray Ho_ay ManzarooN 'ZaiqooN Aur RungooN Ki BataiN Keray Woh In WardatooN Say Guzra Bhi Ho. Gar Kehay' Aao Hum In Pareeshan MojooN Ka Peecha Kerain Jo Tery Aur Mery PaooN Ko Choomti HaiN Talatum Ki Be_naam Manzil Say Guzrain Yeh Dekhain HawaiN Kisay Dhoondti Hain To Chalnay Say Pehlay Zara Souch Lena Zaroori Nahi Hay Jo Un_dekhay RustooN Ki KhabraiN Suna_ay Woh In RastooN Ka Shinasa Bhi Ho KaheeN Yeh Na Ho Jab Samandar May Tum Usko Dhoondo Tou Woh SahilooN Pay Kharra Muskurata Rahay............... ........... By Amjad Islam Amjad |