Baarha mujhse kaha dil ne ke e shobdaa garr
tu ke alfaaz se azaam gari kartaa hai
kabhi us husne dil aaraa ki bhi tasveer bana
jo teri soch ke khaake me lahu bharta hai
* * *
Baarha dil ne ye awaz suni aur chaha
maan lun mujhse jo wajdaan mera kehtaa hai
lekin is ujz se haraa mere fann ka jaadu
chand ko chand se badhkar koi kyaa kehtaa hai
(By: Ahmad faraz)