Sarkon pe be-shumar gul-e-khoon paray huay
Pairon ki daaliyon se tamashay jharay huay
Kothion ki mamtion pe hassen but kharay huay
Sunsaan hain makaan kahin darr khulla nahi
Kamray sajjay huay hain magar raasta nahi
Weeran hai pura shehr koi dekhta nahi
Awaaz de raha hun koi bolta nahi
(By Munir Niazi)
------------------