Quote:
Originally Posted by ikaify Hum aisay Merg Talab Bhi na thay Mohabbat may Keh Jalti Aag kay derya may be-khater jatay Yaqeen Jan mery Ja'n kay hum thehar jatay. Tumhari aankh kay aansoo thay Selay-Aab na tha Chalak bhi jatay agar Misl-e- khak ho jatay Misal-e-Qatra-e-Shabnam Chamaktay Khoo jatay Raha woh herf-e-wafa jis ki subz konpal pay Tumharay bosa-e-Lub say Ghulaab jagay thay So woh Ghulaab to konpal say cut bhi suktay hai'n Rahay woh Khawab jo aankho kay Aabginoo'n may Dhannak kay rung leay doltay say rehtay thay So aisay khawab tu aaker pallat bhi suktay hai'n To baat herf-e-wafa ki aur na khawaboo'n ki Na doltay hoay rungoo'n say pur ghulaaboo'n ki Samay kay Chertay Uttertay hoay Samander may Sub aik pal ki haqiqat,Sub aik pal ka sarab Diloo'n may terk-e-tamana ka hosla ho agar To kaisa herf-e-wafa or kahan kay khawab-o-Gulaab Yeh kaisay Dusht-e-Nidamat may ghir gaay A Jaa'n Keh Ik to Dil may terk-e-tamana ka hosla bhi nahi'n Aur us pay yeh bhi qayyamat agar bafurz-e-Mahaal Tumhari Rah say phirnay ka hosla bhi milay Pallat kay jae'n kahan ? Ghar ka rasta to milay !!!!!!!!. By Amjad Islam Amjad. |
aap k dost hazir hay post karnay k leay