ek nazm | | mujhko bhii tarkiib sikhaa ko_ii yaar julaahe ! aksar tujhko dekha hai ik taana bunte Jab ko_ii TooT gayaa ya khatm huaa fir se baaNdh ke aour siraa ko_ii joRh ke usmeN aage bun ne lagte ho tere iss taane meiN lekin ek bhii gaaNTh, girah buntar kii dekh nahiiN saktaa hai ko_ii maiN ne to ek baar bunaa thaa ek hi rishtaa lekin uskii sarii giraheiN saaf nazar aatii haiN mere yaar julaahe ! ''Gulzaar''
__________________
Last edited by balloo; 03-10-2008 at 07:25 PM.
Reason: Title is wronge
|