View Single Post
  #1  
Old 02-27-2008, 10:48 AM
armaniboy's Avatar
armaniboy armaniboy is offline
Phir Bewafaiiiiii
 
Join Date: May 2007
Location: Dubai
Age: 23
Posts: 657

Country:

Tutorials: 0

My Mood:
Thanks: 0
Thanked 10 Times in 9 Posts
Nominated 0 Times in 0 Posts
TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 72
armaniboy is on a distinguished road
Post Rooh ko serd likhtay raho


Rooh ko serd likhtay raho
Shaairon dard likhtay raho

Aansoo'N ko sitara likho

Khawaab ko ikk ishara liko
Ishq main sab gawara likho
Dil kee qismat khassara likho
Ratt Jagay Ista'ara likho
Waqt kaisay guzara likho
Raat ko bay-sahara likho
Kis ne kis ko pukara likho
Chaand hai zerd likhtay raho
Shaairon dard likhtay raho
Soch ko shabnami likh diya
Dhoop ko chandni likh diya
Aah ko shairi likh diya
Saans ko zindagi likh diya
Zabt ko bay-bassi likh diya
Rabt ko ajnabi likh diya
Piyaar ko dosti likh diya
Baat ko ser-serri likh diya
Dil pe hai gerd likhtay raho
Shaairon dard likhtay raho
Tum likho jeenay walooN ka ghamm
Zakhm-i-dil seenay waloon ka ghamm
Ya k ghamm peenay walooN ka ghamm
Ya likho jalnay waloon ka ghamm
Aag per chalnay waloon ka ghamm
Shaam ko dhalnay waloon ka ghamm
Bay wajah ronay waloon ka ghamm
Khawahishain bonay waloon ka ghamm
Haath hain serd likhtay raho
Rangg hai zerd likhtay raho
baal hain gerd likhtay raho
Shaairon Dard Likhtay Raho
Reply With Quote