Kuch door hamarey saath chalo
Hum dil ki kahani kehdein gey
Samjhy na jisey tum aankhon sey
Woh baat zubaani kehdein gey
Jo pyar karein gey jaanein gey
Har baat hamari maanein gey
Jo jheley na hon khudh ulfat mein
Woh aag ko paani kehdein gey
Jab pyaas jawan ho jaye gi
Ehsaas ki manzil paye gi
Khamosh rahein gey aur tumhein
Hum apni kahani kehdein gey
Is dil mein zara tum baitho to
Kuch haal hamara poocho to
Hum sada dil hain "ahmad" mager
Har baat poorani kehdein gey