Aadat he bana li hai iss shehr k logoN ne
andaz badal lena awaz badal lena
dunya ki muhabbat maiN atwar badal lena
mousam jo naya aaye raftar badal lena
aghyar wahi rakhna ehbab badal lena
aadat he bana li hai iss shehr k logoN ne
raste maiN agar milna nazrooN ko jhuka laina
awaz agar do tu katra k nikal jana
har ik se juda rehna,
har ik se khafa rehna,
har ik ka gila karna,
jate howe rahi ko manzil ka pata de kar,
raste maiN rula dena,
adat hi bana li hai iss shehr k logoN ne