Is But Kaday Main Tu Jo Haseen Tar Laga Mujhay | | Is boot kaday main tu jo haseen tar laga mujhay
Apnay hi eik khayal ka paikar laga mujhay
Jab tak rahi jigar main lahoo ki zara see bound
Muthee main apni band samandar laga mujhay
Murjha gaya jo dil main ujalay ka surkh phool
Taroon bhara ya khait bhi banjar laga mujhay
Ab ya bata k roh k shullay ka kia hai rung
Mur mur ka ya libas tu sundar laga mujhay
Kia janyee k itni uddasi thee raat kiion
Mehtab apni qabar ka pathar laga mujhay
Aankhon ko band kar k bari roshni mili
Madham tah jo bhi naqash-e-ujagar laga mujhay
Ya kia k dil k deep ki low hi tarash lee
Souraj agar hai kirno ki jhalar laga mujhay
Sadyoun main tah howa tah bayanban ka rasta
Gulshan ko lottay howay pal bhar laga mujhay
Main nay isay shareek-e-safar kar lia shakeeb
Apni tarah say chand jo bey ghar laga mujhay
Shakeeb Jalali |