Yunhi fasloon ko sajaye rukh,
yonhi intezaar rehnay day..
meray zehn-o-dil k sakun par,
mera ikhtayar rehnay day...
teri chahaton ka jo dard hay,
yeh sab khushi say kabool hay..
meri chasm-e-nam ka guman na kar,
mujhay askh-baar rehnay day..
teri bebasi bhi baja sahi,
meri khush femi bhi ghalat nahi..
tujhay har kadam pay milay khushi,
mujhay soogwaar rehnay day..
meri guftagu main jo dard hay,
wohi dard mera naseeb hay..
main bhula chuka hun qaraar ko,
mujhay beqaraar rehnay day..