Mujhe woh yaad hai zara zara | | Mere madhosh khwab
Woh taron bhari ratein
Uss chand ka muskurana
Mujhe woh yaad hai zara zara
Neendon se jaghi ankhein
Sine par behati woh sanse
Labon par bhikhari shabnam
Mujhe woh yaad hai zara zara
Sawalon ki barsat
Jawabon main ruthnna
Pyar ki kasam par lautna
Mujhe woh yaad hai zara zara
Woh hijhr ki lambi ratein
Kitabon main shukhe phol
Ansu ban yadon ka barsna
Mujhe woh yaad hai zara zara
Meri har baat ki fikr
Intzar ki pareshani
Mere larkhane se tera tutna
Mujhe woh yaad hai zara zara
Jate rahe woh meharba jab se
Rehta hu un yadon mein
Ab dard ki shaql liye hai woh
Mujhe woh yaad hai zara zara
Chubti hai sanse
shor machata hai Dil
Har waqt nabz ginnta main
Mujhe woh yaad hai zara zara
Pohncha mein uss zamii ko
Mitti thi woh ajnabe si
Ansu ki bundh thi teri si
Mujhe woh yaad hai zara zara...
__________________ Lamha-e-Hijr Ke Baad Aisi Adat Hui Viraniyon Ki ..Andheron Se Bahir Na Aa Sakey, Sar-e-Sham Hum Phir Deep Jala Na Sakey |