buhat muddad k baad | | buhat muddad k baad kal shab
kitab-e-mazi ko mai ney khola buhat se cherey nazer mai utrey
buhat sey namo pey dil maseeja ek safha aisa bhiaya
likha huwa tha jo aansoou sey
unwan jis ka tha yaad
safha wo sab sey hi moataber tha
khwahishon ka ek nager tha
kuch ur aansoou us per tapkey
kuch ur thora dil passeja kitab-e mazi ko band ker k
us k khyalon main
kho gaya main
na janey phir kab so gaya main. |