Kabhii yaad aao to iss tarah .... !
Kabhii yaad aao to iss tarah
k dil-o-nazar mein utar sako
kabhii hadd se habs-e-junoon barhe
to hawaas bann k bikhar sako
kabhii khul sako shab-e-wasl mein
kabhii khoon-e-dil mein sanwar sako
sar-e-raah'guzar jo milo kabhii
na theher sako .... na guzar sako !
mera dard phir se ghazal sune
kabhii gungunao to iss tarah
mere zakhm phir se gulaab hon
kabhii muskurao to iss tarah
merii dharkane bhii larz uthein
kabhii chot khao to iss tarah
na ujar sakein na sanwar sakein
kabhii dil dukhao to iss tarah
na simat sakein na bikhar sakein
kabhii bhool jao iss tarah
kisii tor jaan se guzar sakein
kabhii yaad aao to iss tarah ... !