Chalo ek baar phir se ajnabi ban jain hum dono | | Chalo ek baar phir say ajnabi ban jain hum dono,
Na main tum say umeed rakhoon dil nawazi kee,
Na tum meri taraf daikho ghalat andaaz nazron say,
Na meray dil kee dharkan larkaray Teri baaton say,
Na zahir ho tumhari kashmakash ka raaz nazron say.
Tumhain Bhi koi Uljhan roktee hai paish qadmi say,
Mujhey bhi log kehtay hain yeh jalway para-ay hain.
Meray humrah bhi ruswaieyan hain meray maazi kee,
Tumharay saath bhi guzree huee raaton kay sa-ey hain.
Taruff rog ho jaey tau usska bhoolna behtar,
Taalluq bojhe ban jaey tau uska torna acha.
Woh afsaana jissay anjaam tak lana na ho mumkin,
Ussay ik khoobsoorat mor day kar chorna acha.
Chalo ik baar phir say ajnabi bun jain hum dono
__________________ Sara Shaher Hua Tha Jis k Jaanazay Main Shareek...
Tanhaiiyun k Khoof Se Wo Shaks Mar Gaya.... |