mein aahistaa aahistaa badhta hi aayaa... | | mein ye sochkar uss ke dar se uthha thha,
ki wo rok legii,manna legii mujh ko,
hawaoN leheraata aataa thhaa daaman,
ki daaman pakad kar biithha legii mujh ko,
kadam aise andaaz se uth rahe thye,
ki aawaaz de kar boolaa legii mujh ko,
mager uss ne rokaa,naa uss ne manaayaa,
naa daaman hi pakdaa,
naa mujh ko bithhaayaa,
naa aawaaz hi dee,
naa wapas boolaaya,
mein aahista aahistaa badhtaa hi aayaa,
yahaaN tak ki uss se judaa ho gayaa mein...
judaa ho gayya mein, judaa ho gayaa mein................ ............ |