chaand chehra sitara aankhain | | chaand chehra sitara aankhain mere KHUDAYA .. main zindagi k azaab likhun k khawab likhun
yeh mera chehra ,yeh meri AANKHAIN
bhuje howe se charagh jaise
jo phir se jalne k muntazir hun
wo chaand chehra sitara aankhain
wo mehrubaan saya dar zulfain
jinhu ne paimaan kiye the mujh se
rafaqton k , muhabbtun k
kaha tha mujh se k ae musafar rah e wafa k
jehan bhi jaye ga hum bhi aain ge saath tere
banain ge raatun main chaandni hum to din main saaye bakhair dain ge
wo chaand chehra , sitara aankhain
wo mehruban saya dar zulfain
wo apne paimaan rafaqtun k muhabbatun k
shikast kar k
na jane ab kis ki rahguzar ka manara e rooshni howe hain
mager musafar ko kia khabar hai
wo chaand chehra to bujh gaya hai
sitara aankhain to soo gai hain
wo zulfain be saya ho gai hain
wo rooshni aur wo saaye meri atta the
so meri raahun main aaj bhi hain
k main musafar rah e wafa ka
wo chaand chehraa sitara aankhain
wo mehruban saya dar zulfain
hazarun chehrun hazarun aankhun
hazarun zulfun ka aik sailab e tund le kar
mere tuaqab main aarehe hain
her aik chehra hai chaand chehra
hain sari annkhain sitara aankhain
tmaam hain
mehruban saya dar zulfain
main kis ko chahun main kis ko chumon
main kis k saaye main beth jaoon
bachuun k toofaan main doob jaoon
k mera chehra na meri aankhain
mere KHUDAYA .. main zindagi k azab likhun k khwab likhun |