Apni Hasratain Woh Pori Kar Gaya Hai Aaj... | | sard mosam ki dhali raat thi
shayad ho gaye koi talkh baat thi
main uthoon magar woh mujhay na choray
woh ansoo bhaye meray samnay haath joray
main kahoon mujhay is zangeer main na jakar
main is laik nahin meray pair na pakar
main kahoon is tamana ko anjaam na day
meray pair na choom mujhay yeh makaam na day
teri yeh adda mera jeena mahaal kar day gi
teri yeh adda mujhay haal say bay'haal kar day gi
phir dil main liay huay koi ass
woh bethi rahi meray kadmoo kay pass
woh addain phir apna kaam dikha gayeen
meray jazboon ko jali hui laash bana gayeen
youn banaya us nay mujhay pyaar ka nishana
phir gaya woh waqat gaya woh zamana
main ho gaya ajnabee woh ho gaya bay'gana
mehal us ki manzil dar'badri mera thikana
phir bhayja hum nay us ko akhri paygaam
na karain gay tujhay yaad see lain gay zabaan
waqat nay machaya phir aisa hangaam
woh ho gaya qayaas main ho gaya gumaan
us kay khat phaar kar apnay zakhan nooch kar
phir chalay hum wahaan say yeh sooch kar
apni hasratain woh pori kar gaya hai aaj
teray liay woh mar gaya hai aaj...
__________________ Meri Taqdeer Ko Badal Dain Gay Meray Pukhta Iraday
Meri Kismat Nahin Mohtaaj Meri Haath Ki Lakiroon Ki... |