.::Hameshaa der kar detaa huun main ::. | | Hameshaa der kar detaa huun main
Zaruurii baat kahanii ho
Koii vaadaa nibhaanaa ho
Ussay aavaaz denii ho
Ussay vaapas bulaanaa ho
Hameshaa der kar detaa huu.N mai.n
Madad karani ho ussikii
Yaar kii dhaa-rus bandhaanaa ho
Bahut deriinaa raaston par
Kisii se milnay jaanaa ho
Hameshaa der kar detaa huu.N mai.n
[deriinaa=very old/praachiin]
Badalatay mausamon kii sair mein
Dil ko lagaanaa ho
Kisii ko yaad rakhanaa ho
Kisii ko bhuul jaanaa ho
Hameshaa der kar detaa huun main
Kisii ko maut se pahale
Kisii Ghum se bachaanaa ho
Haqiqat aur thii kuchh
Us ko jaa ke ye bataanaa ho
Hameshaa der kar detaa huu.N mai.n
Poet: Munir Niyazi
__________________ @};- Please update your Signature : Administrator HallaGulla |