piyaar ki bahaar | | oskay aanay say meray anggna may
bahaar ka mausam chaa jata hay
khush rang pholoo ka mela
mujhay apnay pass bulaata hay
din raat ghirri may rehti thi
khushboo kay hisaar may
khushiyon ki jhankaar may
sohanay madhur piyar may
laikin ab bahaar ka mausam
meray ander theher gaya hay
mera pretam piyara mujhko
apna bana kay laygaya hay
ab piyaar k meethay lafzoon ki
barish hay atraaf may...!
__________________ @};- Please update your Signature : Administrator HallaGulla |