~*Mairay Humdum...Mairay Dost..*~ | | Ger mujhay is ka yaqeeN ho meray Humdum...Meray Dost..
Ger mujhay is ka yaqeeN ho k teray dil ki thakan
tairy aaNkhoN ki udaasi..teray seenay ki jalan
mairy diljoi..mairay pyar say mit jaye gy
Ger mera herf e tassalli wo dawa ho jis say
Ji uthay phir tera ujra hua bayNoor dimagh
tairy paishani say dhul jaeN yeh tazleel k daagh
Tairy beemar jawani ko shifa ho jaye
Ger mujhay is ka yaqeeN ho meray Humdum..Meray dost..
Roz o shab..shaam o sahar main tujhay behlata rahooN
main tujhay geet sunata rahooN halkay..sheereeN..
AabshaaroN k..baharoN k ..chaman zaaroN k..geet..
aamad e subh k ..mehtaab k ..sayyaroN k geet..
tujh say main husn o moabbat ki hikayaat kahooN
yooNhi gaata rahooN...gaata rahooN tairy khatir..
geet bunta rahooN..baitha rahooN tairy khatir..
per mairay geet teray dukh ka madaawa hi nahi..
naghma jarrah nahi..moonis o gham khwar sahi..
geet nishtar to nahi..merham e aazaar sahi..
tairay aazaar ka chaara nahi..nishtar k siwa..
or yeh saffak maseeha meray qabzay mein nahi..
is jahaN k kisi zee rooh k qabzay mein nahi..
haaN magar tairay siwa..tairay siwa..tairay siwa.. |