rait per likh ker mera naam.... | | ret par likh ke mera naam mitaya na karo
ankhen sach bolati hain pyar chupaya na karo
log har baat ka afsana bana lete hien
sab ko halat ki rudad sunaya na karo
ye zarori nahin har shakhs maseeha hi ho
pyar ke zakhm amanat hain dikhaya na karo
shahar-e-ehasas mien pattharao bahut hain 'Mohsin'
dil ko sheeshe ke jharonkon mien sajaya na karo |