It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on ik lafz-e-mohabbat kaa adanaa saa fasaanaa hai within the Mohabbat forums, part of the Topics K - O category; ik lafz-e-mohabbat kaa adanaa saa fasaanaa hai ik lafz-e-mohabbat kaa adanaa saa fasaanaa hai simaTe to dil-e-aashiq phaile to zamaanaa ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [9] |
|
#1
| |||||
| |||||
| ik lafz-e-mohabbat kaa adanaa saa fasaanaa hai ik lafz-e-mohabbat kaa adanaa saa fasaanaa hai simaTe to dil-e-aashiq phaile to zamaanaa hai ye kis kaa tasavvur hai ye kis kaa fasaanaa hai jo ashk hai aa.Nkho.n me.n tasbiih kaa daanaa hai ham ishq ke maaro.n kaa itanaa hii fasanaa hai rone ko nahii.n ko_ii ha.Nsane ko zamaanaa hai vo aur vafaa-dushman maane.nge na maanaa hai sab dil kii sharaarat hai aa.Nkho.n kaa bahaanaa hai kyaa husn ne samajhaa hai kyaa ishq ne jaanaa hai ham Khaak-nashiino.n kii Thokar me.n zamaanaa hai vo husn-o-jamaal un kaa ye ishq-o-shabaab apanaa jiine kii tamannaa hai maranaa kaa zamaanaa hai yaa vo the Khafaa ham se yaa ham the Khafaa un se kal un kaa zamaanaa thaa aaj apanaa zamaanaa hai ashko.n ke tabassum me.n aaho.n ke tarannum me.n maasuum mohabbat kaa maasuum fasaanaa hai aa.Nkho.n me.n namii sii hai chup-chup se vo baiThe hai.n nazuk sii nigaaho.n me.n naazuk saa fasaanaa hai hai ishq-e-junuu.N-peshaa haa.N ishq-e-junuu.N-peshaa aaj ek sitamagar ko ha.Ns ha.Ns ke rulaanaa hai ye ishq nahii.n aasaa.N itanaa to samajh liije ek aag kaa dariyaa hai aur Duub ke jaanaa hai aa.Nsuu to bahot se hai.n aa.Nkho.n me.n 'Jigar' lekin bindh jaaye so motii hai rah jaaye so daanaa hai (JIGAR MURADABADI) Last edited by TAIMOOR HASSAN; 09-01-2008 at 11:21 PM.. |
![]() |
| Tags |
| adanaa, fasaanaa, hai, ik, kaa, lafzemohabbat, saa |
| Thread Tools | |
| |
Similar Threads | ||||
| Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
| Mohabbat Lafz Tha Mera.... | *lucky* | Designed Urdu Poetry | 35 | 03-29-2008 01:49 PM |
| ik lafz-e-mohabbat kaa | Jaana | Ghazal | 1 | 03-03-2008 07:55 AM |
| ek lafz-e-mohabbat hay........... | Jaheel | Ghazal | 5 | 10-12-2007 05:38 PM |
| ~*~Mohabbat Lafz Tha Mera~*~ | withlove | Nazam | 41 | 12-09-2005 07:32 PM |
| **Mohabbat lafz tha mera...** | withlove | Nazam | 21 | 02-22-2005 11:59 AM |