It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on ~!~ Compitition...Questi on:Mohabbat Andhi Hoti Hai ~!~ within the Mohabat Kadah forums, part of the Mouj Masti category; ASSALAAM U ALAIAKUM haan mohabbat andhi he to hay.wo nahi dekhti k kis say horahi hay, kis waqt horahi hay, ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [1] |
|
#21
| |||||
| |||||
| ASSALAAM U ALAIAKUM haan mohabbat andhi he to hay.wo nahi dekhti k kis say horahi hay, kis waqt horahi hay, kis jaga horahi hay, usay bs hona hota hay to hojati hay. mohabbat main insaan ko Us k ilaawa kuch dikhaai nahi daita, jb Wo,Us k saamnay aata hay to insaan is say bekhabar hojata hay k Wo kahaan kharra hay wahaan usko dakhnay waalay kitnay log hain bs wo sirf apni mohabbat k dekhta or us ki taraf be ikhtiaar khincha chala jata hay isi tarha to mohabbat chupti nahi hay sb ko dheeray dheeray khabar hojati hay, chahay koi apni saanson ki mala pay pii ka naam simray ya phir usko aankhon main bund ker k rakhay pr mohabbat chup nahi sakti kyoon k mohabbat andhi hay wo nahi daikh paati kisi ko siwaay apnay mehboob k |
|
#22
| |||||
| |||||
| Aslam Alieykum:Muhabat kur khada say-zameen say janat kaa muqaam dakh. Muhabat app kay apnain humzaad say tualiq rakhtee hay,jaisa jazaba ho ghaa,jaisee souch ho ghee,waisay hee uskay asrat waa tasraat houn ghay. Aiek hijani khayalaat sahkshiyat kay insaan kee muhabat bhee heejani aour uskee soucoun kay matabiq hee ho ghee. insaan jiss souch bachar kaa malik ho ghaa uska muhabat kaa rawiyaa bhee waisa hee ho ghaa aour muhabat kaa azhaar aour muhabat hasail kurnain ka rwiyaa bhee waisa hee ho ghaa. Muhabat karnain walay qatil bhee hotay hain?aour kie khud ko khatam kur leitay hain,kie udaaas rewiya ikhtyaar kar kay duniya naraaz ho jatay hain. Muhabat karnain waloun kee kiey shakalain hain,kie rawiey hain,aour aiesay hee mukhtalif soucahin bhee,muhabat karnain walay andhay bhee kehlatay hain ?kie chatan kee taran dhut janian walay bhee hotay hain,main tou yeh kahoon ghaa muhabat sar char kur boultee hay aour khoob boultee hay. Muhabat main history utha kur dakahin hur sakhs nain apnain zamanain main mukhtlif maahra kiyaa hay,taj mahal bana?bana saktay thay badsha thay,liela majonoon kay aour halat thay dou qabiloun main dushmanee thee,wou becharay buhat hee majboor thay,sasee panoon,soni mehiwall yeh subb muhabat karnain walay hee hain,sub kay raweiy alieda hee hain. Ajj kul disko dour aour mubile kaa dour hay,duniya fast hay,mubat bhee fast hay aour usk end bhee fast hay . aou mobile pay baat karian-nukar pay khara hoon chil out karain.aiesee muhabat hay,zamana buhat tareqee pur hay,yeh halaat dekh kur loug kehtay yeh muhbat main andha nehee ghandha hay+(( ![]() |
|
#23
| |||||
| |||||
| Naz ap ne sath me jo ye shair likha ha k: Mujh ko to hosh nahi tum ko khabar ho shaid Log kehtay hein k tum ney mujha barbad kia is ka matlab Muhabat Andhi Hoti Ha, Kia khayal ha
__________________ @};- Please update your Signature : Administrator HallaGulla |
|
#24
| |||||
| |||||
| hmmmm shazly bhaii ap kisi sa b mohabbat karo but dil sa karo n im sure k ap boht ache sa samjhte ho jazbat muhaabt k ...... ![]() |
|
#25
| |||||
| |||||
| haan.... muhabbat andhi hoti hay, essi liye to ess ko nazar nahin aati, koee oonch neech, zaat paat, rang nasal, qaom zubaan, kuchh bhi.... bass.. ho jaati hay, dekho na, .... jaisay mujhay tum say muhabbat ho gaee!!! kahan tum,,,, kahan mein!!!! koee jorr nahin... phir bhi... ho gaee.. ab mein kiya karoon, ke mein ne khud se nahin paida ki apne dil mein ye khanakharab, muhabbat, aur na hi khatam kar sakta hoon ess ko!!! to phir ... sahi hay na.. ke muhabbat andhi hti hay. KITHAY MEHER ALI KITHAY TERI SANAA, GUSTAAKH AKHIAN, KITHAY JAA LARIAN!!! |
|
#26
| |||||
| |||||
| Ab Mohabbat Hai Yeh Nahin , Sab say Bada Question tu yeh hee hai na ... Aur Jab Sachi Mohabbat hoti hai chahyee woh kisi bhi Rishtay main hoo ... Aaap us main Deemag say sochna band kar dete hain aur Kuch bhi kar jateey hain Agar Mohabbat Sachi hoo tu .... ![]() |
|
#27
| |||||
| |||||
| Kiya Mohabbat Andhi Hoti Hai ? App K Nazerye Ke Mutabiq Is Baat Main Kitni Sachaye Hai ? Pehlee baar post kar rhaee hoon yahan aur yeh bhee nahin pata kai yeh thread kaisey mile ga. Kheir. Mere Nazriye mein Mohabbat andhee hotee hai. Mohabbat mein insaan kisi cheez kee parwa nahin karta aur kuch bhee karne kai liye tayaar ho jata hai. Lekin yaad rahey pagal pan mein nahin balkey apne mehboob kee khushi kai liye. (Agar pagal pan mein kuch kia jayein tau wo mohabbat nahin hotee, wo sirf arzee chahat hotee hai) Es mohabbat mein sirf doosre kee khushee azeez hotee hai beshuk wo kisi aur ko bhee piyar karein tau oos mehboob ko sirf oos ko khush dekh kar khushi mehsoos hotee hai. Mohabbat kisi cheez kee mukhtaaj nahin hotee, mohabbat mein tau kisi kee khaami nazar nahin aatee, na oos kee zaat, oos kee buri zindagee ya ache zindagi sai koi sarokaar nahin hota. I strongly believe sirf oos kee khushi azeez hotee hai. Kyon kai es mohabbat mein kuch oos ko chahiye nahin hota aur naa hee umeed hotee hai kai kuch mile ya wo shaks bhee. Also, Question Mohabbat andhee hone pur hai, tau Mohabbat andhee sirf do larka aur larkee pur nahin tau oos parent kai liye bhee kee ja saktee hai jo apnee aulaad kee her ghalat baat pur yakeen karte hain beshuk wo ghalat ho. E.g ek bacha buhot bura aur ghalat hai aur zamana oos kai maan baap ko kehta hai kai yeh ghalat hai aur sahee nahin tau wo maan baap ulta oon ko dante hain kai nahin wo theek hai aur wo zamana ghalat hai tau yeh oos parent kee andhee mohabbat hai. Waisey bhee sub log apne nahin tau kisi kai experience sai baat karte hain tau jo kisi nai kuch bhee experience kia ho wo such hota hai ghalat nahin. Therefore sub kee point of view on something sahee hote hain Allah Hafiz Miraj |
|
#28
| |||||
| |||||
| mohabbat beshak andhi hoti hai likin agar insan sachi muhabat karnay wala ho to mohabbat phir insan ko andha kardeiti hai na to phir insan ko rishta nazar aata na koi or balkay insan pora pora mohabbat main andha howa jata hai phir aik aisa waqt ata hai k is andhay paan ka koi elaj baqia nahi rrehta or phir insan ko mohabbat main apni jaan day kar is ka azala ada karta or phir us k nam ki aik kahani banti jaisay "HEER,RANJAY" ki bani thi jaisay "LALA,MAJNOON" ki bani thi . mohabbat main insan itna andha hojata hain k us ko na apnay samnay walay ki soraat s piya hota hain na to uski seerat say balkay usko andha karnay wali jeez uskay samnay walay ki ankhain andha karti hain is pori tehreer ka maqsad yeyh hai k mohabbbat andhi nahi hoti mohabbat karnay wala andha hota hai Allah aap sab ko khush rakhay ![]()
__________________ Signature Removed - Image exceeds 650 px by 350 px |
|
#29
| |||||
| |||||
| hello mera nazarya mohabbat nahein insaan andha hota hai mein ne dekha aise he andhon ko jo muhabbat mein andhe hote hai na un ko unke buzrogao ke parwah hote hai na kise ka khayal hota hai aisay he loog muhabbat ko badnam karte hai ..muhabbat ek aisa jazba hai jisse har insaam ko hona chheye .muhabbat toh insaan ko kya se kya banadeta is leya mera mana yeh hai ke muhabbat andhe nahe hote balke insaan andha hota hai |