Re: Emotions & Feelings...!!! | | Jazbat
It’s a mixture of feelings,love,hate,p assion and desires…… Feelings
Without feelings we can’t express our emotins…
Agar insan ki zindgi may feelings or emotions hi na hotay to phir usay koi takleef hi na hoti , wo aram say is dunya may ata or apna kam kar k chala jata….magar phir kya insanyat ka matlab hi khatam ho jata,ku k insanyat bi feelings or emotions ka dusra name
Hay..agar kisi shaks may yay feelings or emotions na ho to hum log hi us ko sangdil kah kar pukartay hay…..
Allah tallah bi aik ehsas hay,kya hum nay usy dekha hay,kya baki log jo bi apnay religions kay mutabiq kartay hay kya unho nay kabhi apnay khudao ko dekha hay….
Magar phir bi hum may aik ehsas hi hay jo humay sochnay par majboor kar deta hay k allah hay,or hum us k lye apnay jazbat ko ezpress kartay hay….to chahy wo kisi soorat may ho…..
Mohabbat bi aik ahsas ka nam hay,jub humay kisi ka ahsas hi na ho or kisi ki parwa hi na ho to phir hum may kaisay koi jazba paida ho ga,,chahay wo jazba mohabbat ka ho , humdardi ka,,ya koi or…ehsas k bina hum log mohabbat bi nahi kar saktay…jub hum kisi k jazbat ka ehsas katay hain tub hi hum may us k lye koi jazba paida hota hay…
Yay qudrat ki taraf say insane k lye tohfa hay….agar aik MA ko pni mamta ka ehsas hi na hota to wo mohabbat kaisay karti …to kya is say bara koi jazba is dunya may hay… Faraq
Ankh k pani or samandar k pani may kya faraq hay……
Dekha jay to dono hi namkeen hotay hain…lekin ankh say girnay walay ansoo(pani) may jo ahsas or jazbat hotay hain wo samandar k pani may nahi hotay.ansoo dil ki gahraion say nikal kar jazbat ki akasi kartay hain..or in ki gahrai samandar ki gahraion say bi zayada hoti hay.. Ehsas … insanyat,mohabbat,bu t is dunya k har jazbay say wabista hay..Agar ehsas insanyat say wabista hay to insanyat k bina har jazba darindgi hay…. Sirf ehsas hi har jazbay ko zinda rakh sakta hay…
Bus me ko yahi lagta hay k jazbat o ahsasat k bina zindgi mumkin hi nahi thi…
Or agar yay cheezain hum may na hoti to humaray wajood ka koi maqsad nahi hota, |