Re: Bharosa...jab toot'ta hai...! | | BHAROSA jab toot'ta hai to insaan bhi uskai saath chakna choor hojata hai har khushi adhoori lagti hai zindagi beemari lagti hai aik aisa bojh lagti hai jo zabardasti aap kai kaandho par daal dia gaya hoo kuch bhi acha nahi lagta na log na kaam na family na aap khud koinkai sab sai badai kasoorwaar to aap khud ko maan rahai hotai ho jo kisi aisai shaks par bharosa kar betha jo uskai kabil hi nahi tha laikin merai MALIK nai aik aisi marham banai hai jo ahista ahista dheerai dheerai is cheez ka ilaj kardeti hai woh hai waqt jo aap kai tamam zakhm bhar deti hai but nishaan nahi mita paati nishan mitanai mai usai bohat koshish karni parhti hai jo zyada tar khatam nhi ho pati hai
ALLAH na kabhi kisi ka bharosa tornai dai , na kisi aisai shaks par bharosa karnai dai jo uskai kabil hoo
__________________ KHAN JUNAID KHAN |