Umeed hai kay sab members theek thak hun gay
Aaj main ap sab say kuch pochna chahta hun.
P I Y A R
Kiya Hai?
kiya zaruri hai kay piyar sirf larky ko larki say or larki ko larky say ho
aaj kal hamary mashry main yahi ho raha hai.
Piyar karna aaj kal kay bachoon nay apna farz samjh liya hai
un ko koi yeh batany wala nahi hai kay humary mazhab main is baat ki
ijazat nahi hai lay.
Aik dafa kisi ko pasand kar liya to us ko piyar ka naam day diya
piyar karna hai to sab say pehly apni maan say karo
to dostoon ap hi batain kay ap kis say ziyada piyar karty hain.
Please is sawal ko ignore mat karain