Re: To Aap Kia Kartai? | | hmmmm ... kaafi ffilmy situation hai but anywayz agar suppose karna hai k main kya karti to main yeh karti k main apne Fiance ko batati zaroor k dekho pehley main " is " shaks ko chahti thi ... woh chala gaya tha ab aa gaya hai .... ab kya kiya jayee .... kyunki agar main sirf iss liee apney Fiancee ko yeh baat nahin bataoun k uss ka dil toot jaye ga to yeh to sarasar dhookha hai .... jab main us k saath khush nahin reh sakti to uss sey shaadi hi kyun karoun ... teen zindagiyaan barbaad karney sey behtar hai k smajh bojh k saath aik shak dil per pathar rakh ker waqti torr per udaas ho jaye aur maamla nipat jaye na ki teen zindagiyaan zindagi bhar roti rahein .....
Allah bachaye sab ko ...
tauba Astaghfaar yeh pyaar k jhanjhat ..... |