Re: Recipe-of-the-Week | | Asaan sa kimaa ingredients
-kima 1kg
-3 Piaz omelet ki piaz ki tarah kaatne hai.
-Adrak lambayi mein kaatleyn.
-Tomatoes 2-3 kaatleyn baarik
-Haari mirchi lambi kati hui,taste k mutabiq
-harra dhania hasbe zaroorat Preparation
Namak,Haldi,Lal mirch,Sukha dhania sab taste ke mutabiq.Oil.
oil ko garam karleyn.Aur kima daalkar achi tarah bhooney.Jab kime ka paani achi tarah se khushak hojae.tau khush masala daalkar bhoonleyn.usske baad baaki sab( tomater,piaz,adrak,g reen chillies,dhania...da alkar dhakkan band dhakdeyn.)aur apne pani mein paknedeyn.Jab kima oil chordeyn,tau thora bhoonkey kima paish kareyn.
hope app loog enjoy karain ge |