Hare Masalhe Dar Aalu k kabab
Ajza:
aalu 1/2 kg
hari mirch 8 adad
hara dhaniya 1/2 gathi
zeera 1 tsp
namak hasb-e-zaiqa
sabut dhaniya 1 tsp
kali mirch 1/2 tsp
papon ka choora or bread crumbs 1/2 piyali
anda 1 adad
cooking oil 1,1/2 cup
Tarkeeb :
aalu ubaal kar kuchal lain aur tamam masalhon ko mota koot lain aur aalu'on main achi tarah mix kar lain fir is ki choti choti tikiyan bana kar anda aur papon ka choora laga kar fry kar lain hare masalhe k kabab tayar hain .