It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Mohabbat seekh ker kerna. within the Khwaja Meer Dard forums, part of the Poet K to O category; Mohabbat seekh ker kerna. K bin seekhe mohabbat ka safar dushwar hota hai. Girebaan taar hota hai. Kabhi inkar hota ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| Mohabbat seekh ker kerna. K bin seekhe mohabbat ka safar dushwar hota hai. Girebaan taar hota hai. Kabhi inkar hota hai Kabhi iqrar hota hai. Mohabbat seekh ker kerna.. K bin seekhe mhabbat to serabon ki kahani hai Dukhon ke raj-dhani hi Jo kal ban jaay ga baadal ye dariya ka wo pani hai. Mohabbat seekh ker kerna... K bin seekhe mohabbat to azab-a-zindgi thehri Sarab-a-zindgi thehri Na ho takmil jis ki wo Kitab-a-zindgi thehri. ISI KHATIR TO KAHTA HOON KISI AUSTAD-A-KAMIL Last edited by Shoaib; 07-17-2008 at 07:18 AM. |
|
#2
| |||||
| |||||
| Yaad Ki Rah Guzar Jis Pe Issi Sorat Se Muddatein Beet Gaye Hain Tumhein Chaltey Chaltey Khattam Ho Jaye To Do Char Qadam Aur Chalo Morr Parta Hai Jahan Dasht-e-faramoshi Ka Jis Se Agey Na Koi Mein Hoon Na Koi Tum Ho Saans Thamein Hain Nigahein K Najaney Kis Dum Tum Palat Aao, Guzar Jao, Ya Murr Ker Dekho Gar Cheh Waqif Hain Nigahein K Ye Sab Dhoka Hia Ger Kahin Tum Se Hum Agoosh Hoi Phir Se Nazar Phoot Nikley Gi Wahan Aur Koi Rah Guzar Phir Ussi Tarhaan Jahan Ho Ga Muqabil Paiham Saaya-e-zulf Ka Aur Jumbish-e-bazoo Ka Safar Dosri Baat Bhi Jhooti Hai K Dil Janta Hai Yahan Koi Morr, Koi Dashr, Koi Ghaat Nahi Jis K Pardey Mein Mera Mah-e-raavan Doob Sakey Tum Se Chalti Rahey Ye Raah Yunhi Acha Hai Tum Ne Murr Ker Bhi Na Dekha Tou Koi Baat Nahi Last edited by Shoaib; 07-17-2008 at 07:18 AM. |
|
#3
| |||||
| |||||
| Lutf woh ishq mein paye hain ke jee janta hai Ranj bhi aisay uthaye hain ke jee janta hai... Jo zamane ke sitam hai woh zamana jane Tu ne dil itne dukhaaye hain ke jee janta hai... Muskurate hoe woh majmaa agiyar ke saath Aaj youn bazm mein aaye hai hain ke jee janta hai... Inhi qadmoN ne tumhare inhi qadmo ki qasam Khaak mein itne milaye hain ke jee jaanta hai Saadgi, bankpan, agmaaz, shararat, shokhi Tu ne andaz woh paaye hain ke jee janta hai... Kaaba-o-deer mein pathra gayi dono ankhein Aisay jalwe nazar aaye hain ke jee janta hai... Tum nahin jaante ab tak ye tumhare andaaz Wo mere dil mein samaaye hain ke jee jaanta hai Dosti mein teri, darparda hamare dushman Is qadar apne paraye hain ke jee janta hai... 'Daag'-e-warafta ko hum aaj tere kooche se Is tarah khainch ke laye hain ke jee janta hai. Last edited by Shoaib; 07-17-2008 at 07:18 AM. |
|
#4
| |||||
| |||||
| Hum Jo Tootay To Is Tarah Tootay Jaisay Haathon Se Girr ke Pathar Pe Koi Shafaaf Aaina Tootay Jaisay Palkon Se Toot'ta Aansoo Jaisay Seeney Mein Ek Gum'aan Tootay Jaisay Umeed Ki Nazuk Dali Jaisay Aankhon Mein Khwaab Ki Dorri Waqt e Taveel Mein Ulaj Jaiye Jaisay Pairoun Talle Se Zameen Nikley Jaisay Sir Pe Aasama Tootay Jaisay Ek Shaakh Pe Bharosa Kiya Is pe Jitney Thay Aashiyan Tootay Jaisay Wehshat Se Hosh Aa Jaiye Jaisay Ta-dair Mein Dehaan Tootay "Kisney Dekha tha Tootna Apna Hum Jo TooTay To RaiGaaN TooTay..." Last edited by Shoaib; 07-17-2008 at 07:18 AM. |
|
#5
| |||||
| |||||
| Woh Hadsa Tha K Ansoo Bhie Saath Day Naa Sakay..Shikast-e-Dil Pay Bohat Dair Tak Main Hansti Rahi |
|
#6
| |||||
| |||||
| Batao Dil Ki Baazi Mein Bhala Kya Baat Gehri Thi Kaha Youn To Sabhi Kuch Theek Tha Par Maat Gehri Thi Suno Barish , Kabhi Khud Sey Bhi Bhar Kar koi Dekha hai Jawab Aaya Un Aanhon Kii Magar Barsaat Gehri Thi Suno Tum Nay Holey Sey Kha Tha Kya, Batao Gey? Jawab Aaya Kaha To Tha Magar woh Baat Gehri Thi Deya Dil Ka Sumandar Us Ney Tum Ney Kya Kiya Us Ka? Humien Bus Doob Jana Tha Keh Woh Soghaat Gehri Thi Waffa Ka Dasht Kaisa Tha Batao Tum Pey Kya Beeti Bhatak Jana Hi Tha Hum Ko Wahan Par Raat Gehri Thi Tum Us Key Zikar Par Kyun Doobey Jatey Ho Khyaalon Mein Rafaqat Aur Adawat Apnii Us Key Saath Gehri Thi Nazar Aaya Tumhien Us Ajnabii Mein Kya, Batao Gey ? Suno Qaatil Nigaahon Ki Woh Zalim Ghaat Gehri Thi Last edited by Shoaib; 07-17-2008 at 07:17 AM. |
|
#7
| |||||
| |||||
| MOHABBAT CHOR DI HUM NAY Abhi jo laut kar phir tum Hamaray dar pay ayay ho Yeh tum say keh dya kis nay Keh tum bin reh nahi saktay Yeh dukh hum seh nahi saktay Kaha tum say yeh kis nay hai Keh tum bin hum buhat royay hain Raaton ko na soyay hain Sun lo ghoar say janaa Agar beetay huway lamhon ko Tum nay wapis lana hai Hamari zindagi main phir Hamain wapis bulana hai Mujhay afsoos hai janaa Keh tum mayoos lauto gi Agar tum jan’na chaho Kay aisa kyun kia hum nay Yeh dukh kyun seh lia hum nay To sun lo ghor say janaa Puranay ehd-e-raftaa ki Riwayat torr di hum nay Last edited by Shoaib; 07-17-2008 at 07:17 AM. |
|
#8
| |||||
| |||||
| Fuzool Hai Un Sey Yeh Tamanna, Keh Merey Gham Ki Dawa Karein Gay Tabahi-e-Dil Pey Jo Tul Gaye Hon, Woh Dil Ki Ta'ameer Kiya Karein Gay Qadeem Aik Rasm-E-Dosti Hai, Magr Hai Ab Bhi Wohi Ta'alluq Sitam Sahey Hain, Sitam Sahein Gey, Wafa Key Badley Jafa Karein Gay Na Zindagi Ko Sukoon Mila Hai, Na Zindagi Ney Sukoon Diya Hai Kabhi Jo Puhnchey Us Aastaan Tak, Tu Zindagi Ka Gila Karein Gay Shareek-E-Bazm-E-Hayaat Tum They, To Aarzu'oon Mein Roshni Thee Tumhari Qurbat Sey Duur Reh Kar, Sukoon Mila Bhi Tu Kiya Karein Gay Kisi Ko Maaloom Tak Na Hoga, K Hum Ko Thi Aap Sey Muhabbat Kisi Ko Mahsoos Tak Na Hoga, Kuch Is Tarah Hum Wafa Karein Gay Mata-E-Qalb-O-Nazr Luta Kar, Uthaaye Mahroomiyun Ke Sadmay Gham-E-Zamana Teri Hikaayat, Barey Mazay Sey Kaha Karein Gay Khushi Ki Halki Si Aik Kiran Bhi, Dil-O-Nazr Mein Nahi Hai Zakir Udaasiyun Per Hi Aasra Hai, Kiya Bhi Shikwa To Kiya Karein Gay Last edited by Shoaib; 07-17-2008 at 07:17 AM. |
|
#9
| |||||
| |||||
| Kabhi jo mujh ko talaash kerna Tou chand raaton ki chandni main Gul-e-chaman say sawal kerna Udaas kiun ho?? Kyun oas-Qatron main apnay aanso Chupaa rehay ho Haseen mausam main kis ki yadoon main Apnay dil ko jala rehay ho Gul-e-chaman yeh sawal sun ker Tumhari aamad ka haal sun ker Kehay ga tum jis ko khoojtay ho Woh in baharoon ki sari khushboo Churaa kay abb ik nay chaman main Mehek raha hay Udaas ker kay yahan pay hum ko Kisi chaman main chehek raha hay Gul-e-chaman ka yeh haal sun ker Tumhain lagay ga main baywafa hoon Udaas kalioon ko choor ker main Nai baharoon ko dhoondta hoon Mager haqeeqat main is chaman kay Tamaam phoolon ki khwahishon kaa Aur in ki nakkam kavishoon ka Haseen mousam ki barishoon ka Naa meray dil per aser hua tha Naa meray dil per aser hua hai Main aaj bhi ik nay chaman main Puranay qissay suna reha hoon Joo mere chahat ka devtaa tha Main aaj bhi us ko poojta hoon Yaqeen nahi tou palat kay dekho Waheen khara tha,waheen khara hoon Last edited by Shoaib; 07-17-2008 at 07:17 AM. |
|
#10
| |||||
|