Ajnabi...! | | dar-o-deewar mujhe ajnabi say lagtay hain
mere hi yaar mujhe ajnabi say lagtay hain
adawtain si ho gaiii hain mausmoN say mujhe
khizaaN bahaar mujhe ajnabi say lagtay hain
jahaN pe umr bitaaai, ajab sa lagta hai
wohi dayaar mujhe ajnabi say lagtay hain
kuch is tarha say aashnaai ho gaii gham say
sakooN qaraar mujhe ajnabi say lagtay hain
jo humsafar thay mere kal talak wohi Mehroo
woh ab ke baar mujhe ajnabi say lagtay hain
Last edited by kanch ki mehroo; 10-28-2007 at 08:01 PM.
|