
12-27-2005, 02:50 PM
|
 | ~!~ KasaK ~!~ | | | Join Date: Jul 2005 Location: Adhore Chand Ke Pass
Posts: 18,893
Country: Tutorials:
2 Thanks: 0
Thanked 21 Times in 21 Posts
Nominated 0 Times in 0 Posts TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 2320 | |
Tujhe Kiya Kahoon Mere Humnawa...! | |
kahan kho gaii meri zindagi? ...na koi pata, na koi khabar
bhala kiya mila humain ishq say !... tu bhi darbadar, main bhi darbadar
woh khizaN ki aamad say paishtar... jahan baat kartay thay baith kar
usi amr bail ki chaaooN main koi raah takta hai rat bhar
abhi din charha hai zara zara, ay sawaad-e-shab abhi thehar ja
abhi kehna chaha tha haal-e-dil, tu bhi chal diya mujhe chor kar...
na hi dil main hain teri chahtain, na shikayatain na adawatain
to yeh kiya ke aankhain chalak pareeN ..kabhi ho gaya jo tera zikar
kahan dhondtay ho mera pata ? main woh phool hoon jo bikhar chuka
milain ujray ujray say baam-o-dar ... to yeh sochna ke hai mera ghar
tujhe kho ke aankhain bahaayen khooN, tujhe paa ke bhi na milay sakooN
meri chahtain bhi ajab raheeN, mere silsilay bhi ajeeb tar
main kahoon kisi say to kiya kahooon?... huwa mujh pe taari ajab fasooN
ke sakoot-e-shab meri zindagi... ke gham-o-alam mere humsafar
jahan tum thay mujh say khafa huwe, jahan apne rastay juda huwe
main miloongi tumko waheen kahin, usi raah main, usi morr par
tujhe kiya kahoon mere humnawa !... ke bura huwa ya bhala huwa...
kabhi zindagi jo mili mujhe ....to rahi na baaqi meri umar......
|