It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Zalzalay Kyun Aatay hain!!! within the Islam & Muslim Ummat forums, part of the Islam & Religions of World category; Asslam-o-alaikum!!! Mairay bhaiyooon aur behnoon! Hazrat Aisha R.A say poocha gaya kay zalzalay kyun aatay hain................ .... Zameen k mahireeen ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| Asslam-o-alaikum!!! Mairay bhaiyooon aur behnoon! Hazrat Aisha R.A say poocha gaya kay zalzalay kyun aatay hain................ .... Zameen k mahireeen bata rahay hain kay plates aapas main takratee hain tou zameen kapkapateee hai..... nazar tou yahee aaraha hai..... badal aatay hain tou barsih aate hai...... hawa chaltee hai tou chatain urtee hain..... magar hawa kis nay challlayeeeee? Badal kaun laya? plates ko kis nay hilaya? paniyoon ko kis nay bay lagam kia? aisa kis nay kardiya? yeh zameen k mahir nahin bata saktay.... yeh hawaaoon k mahir nahin bata saktay... yeh paniyoon k mahir nahin batas aktay.... yeh pahaaaroon k mahir nahin bata saktay.... yeh samandar k mahir nahin bata saktay............ yeh ilm Allah nay Apnay nabioon per uttara.... in k zariyeee hum tuk puhnchayaa.. .... tou Hazrat Aisha na farmaya...... " jub log zana kartay hain baibakee k saath... khullam khulla sharaaab peetay hain ......... mauseeqeee ki mehfilain sajatay hain sar-e-bazaaar.... phir aaasmaooon per Allah ko ghairat aatee hai aur woh zameeen ko hukm daita hai kay in hain jhanjooor do inhain hiladoo" (Maakhooz bayan Maualan Trqir Jameel) Tou mairay dostoon kia hona tha aur kia ho raha hai!!! Ajj hum Ammi Aisha ka farman apnay gird-nawah main dhoondain, apnay aas paas nazrain dorain, apnay gharoon main honay walay aamal ka jaaaiizaa lain tou tou aaaj say 1400 saaal pahlay keee gayee baaat such maloom hotee hai!!!! Ajj hamaray ghar ganay bajaanay aur star plus k behooodaa dramoon ka markaz bana hua hai!!! aaj bazaroon main namahramaaat ka hujoom is baat ki daleel hai k zana aam ho gaya hai!!! kyun k zana sirf jusmaaanii tauluuq ka naaam nahin bulkay hamara har jism ka hisssa jo kisssi ki behan kisssi ki maan kisssi ki beti ki taraf buri nazar say utha tou woh zaani hai!!! aaj bazaroon main gariiooon main, hotels main, gharoon main har jaga har jaga gaaanooon ki ghaleez awaaaz hamaray kanoon say takratee hai aur us per sharam ki baat yeh kay humaray kaan per joon tuk nahin raingtee aur hum shoq sya unhain suntay hain!! haye..........!!!!! tou mairay dostoon hum aaj say aaj say nahin bulkay abhee say jo koi bhe jis waqt bhee yeh message parhay woh uth ker foran ho sakay tou do rakaaat "Namaz--e-tauba parh lay aur aur aur ... apnay Rub say gir girrra kay dua mangay: Ya!!! Allah Ya ALLAh aey Mairay ALLah ghaltee ho gayee maaf karday aey Allah main gumrahe main tha tou apnay fazal say maaf karday". do ansoon nidamaat kay jub rukhsaar per girain gay na tou Allah ta'al ka ursh bheee hil jaye gaa aur phir Allah ki Rahmat main josh main aaye gee aur kahay gee "Labaik!! main hazir hoon mairay banday!!! jaa mainnay tujhay maaf kia" bus aur kia likhoon bus dostoon tauba kar lo kia pata agla saans bhee na lay payeeen!!! Aur haan is banday k liey khaas tour per Dua karna k Allah apnay fazal say mujhay maaf kardain!!! Jazakullah!!! Assalam-o-alaikum!!! App ka bhai, Muhammad Uzair khan |
|
#2
| |||||
| |||||
| Aap Ki post yahan move ki hay. It's more related to this section than writer's-club. regards, -Shokh |
|
#3
| |||||
| |||||
| well i dont think so kay Islamic teachings ki zaroorat kaheeen per honee chayye aur kaheen per nahin may be yahan k users is ko wahan jaa kar na parh sakaain so i would say................. well koi baat nahin Regards |
![]() |
| Tags |
| zalzalay, kyun, aatay |
| Thread Tools | |
| |
Similar Threads | ||||
| Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
| my collection, valentine day gift | zafarmalik | Ashaar - Misc | 12 | 07-05-2008 08:39 PM |
| Hum sab muntazir hain.... | solitaire | Mehmood Sham | 0 | 03-24-2008 06:51 PM |
| Yahan khushiyan hi khushiyan hain!!! | yasiraq | Nazam | 6 | 11-06-2007 10:51 AM |
| Kyun Hain | Daanie | Ashaar - Misc | 7 | 10-09-2007 12:11 AM |
| ~Polling : Question Competition~ | Pehli``Barish | Mohabat Kadah | 6 | 09-26-2007 01:18 PM |