It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on ~!~waseela k mozu par mazeed dalail~!~ within the Islam & Muslim Ummat forums, part of the Islam & Religions of World category; ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [1] |
|
#2
| |||||
| |||||
| App nai first kaha jis main app nai Charoon imamo ka Ijma bhe sath likha hai But koe Misal ya Dalil nahe de sabit karnai kai laey On ki kitaboon ka koe refrance deen jin main in Charoon imam nai is kaam ko sahe kaha ho @};- kehnai ko sub kehtay heen but detail zaroree hote hai Bagair Refrance kai baat ki ko Hasiat nahe hote hai Hadess Qudsi ko app khud Gor say parheen os main Bandoo ka ziker hai wo Bandai app bhe ho saktay heen or main bhe @};- Allah ki Tofiq or humarai Umal ki baat hai @};- Ahades ki Mustnad Kitaboon sai Qoute kareen @};- kiyon kai Oper jin Char ulma ka naam likha gaya hai on ka he Qoul hai kai Jayse baat ho Riwayat bhe ose Hasiatr ki ho yah nazuk Issue hai is laey yahaan Mustnad kitboon ki baat kareen app or End main app nai sahe kaha kai maan nai waloon kai laey yah he kafi hai Hazrat Abbas (R.A) wali missal kafi he hote but shahid loghoon nai man na he nahe hai |
|
#3
| |||||
| |||||
| Quote:
imam badar ud deen ayni hanfi(umdatulqari fi shraha bukhari) imam ibn hajar asqalani shafaee ki(fathul bari fi sharah bukhari) imam qazi ayyaz maliki ki (shifa shareef) imam ibn qadam hanbali ki (almuganni) iss k illawa aur bhi deegar ulmah ki kitaboon k hawalajaat mil sakkty hain baqi rahi baat hadeese qudsi ki to wo main ny iss liy naqal ki tak aap ko maqboolany khuda ki marfat hasil ho aap ko maqboolany khuda ki ALLAH ki bargah main qadro manzilat ka nadaza hosaky aur aysi qadro manzilat mary aur aap jaysy gunahgaar k hisy main kahaan. aur baqi rahi aap ki ye baat k hadeeth ki mustanad kitabon k hawala jaat doon to ye hamesha se aap jaysy logoon ka wateera hy k jab un ko dalail diye jayeen to lagty hain phir aayen bayeen shayeen karny .aap ki itllah kiliye arz hy k saheeh ahdeeth serf bukhari muslim tak mehdood naheen hain balky aur deegar kutab main bhi saheeh ahadeeth milti hain aur bukhari aur muslim main zaeef aur mozu rawayaat bhi hain samjh main aae baat k naheen.......... |
|
#4
| |||||
| |||||
| Quote:
abid bhaijan kissi bhi akedey ko sabit kernien k leye Quran O Sunnat k authentic dalalil denien hotey hein yahan app nein jo baat ki yea app ka akida hai is ko to puree dunya janti hai app apney is akidey ko sabit karien idher udher ki nahin sunain apney app ko ashiq e rasool samjtey hein? to sahi ahadees say itni duri qeuon app is akeday ko sabit kernein k leye ik bhi sahi hadees or qurani aeyat post nahin kersakey or na hi app nein sahaba ikram k action say kuch prove ker sakey ho aayen bayeen shayeen to app ker rahey hein alahazrat :) Allah app per rehmat nazeel karey peyarey peyare islami bhai mein sallon say intezar ker raha hoon k app ki taraf say koi authentic prove miley? app ka bhai Abdullah bhi Allah ki tofeeq say is silisilay mein kuch post kerey ga InshAllah wassalamoalaikum Last edited by Mr.Abdullah; 12-26-2005 at 12:47 PM. |
|
#5
| |||||
| |||||
| Very Nice Aabi................ ..you Have Done Great Work... Jazak Allah............. |
|
#6
| |||||
| |||||
| Asalam o Alaikum aabi2cool, I would like you to reconsider your LANGUAGE here. Quote:
Secondly, I personaly don't agree and I have every single right to ask you for exact reference of your "Zaeef ul Aaitqaadi" in my very personal opinion. Allah SWT said: Aur Yaqeenan Hum nay Iss Quran mein Logoon Kay Liyeah Har Qisam Ke Misaalain Bayaan Kar Dee Hein, Kaya Ajab Keh Woh Naseehat Hasil Kar Lain" Alzamar - 27 But said, we don't learn and we go here there and every where but what we get... ? Aap ke tamaam dalayail kay liyeah shaid Quran e Pak say mandarja zail Ayaat kaafi hooni chahiyeah... !! [quote]Jinhoon nay Apnay deen ko Khail Tamasha Bana Rakha hai.. Aur Deenvi Zindagi nay unhain dhookay mein daal rakha hai aur Iss Quran kay zariyeah say Naseehat bhi kartay hain ta kay koi shakhas apnay Kirdar kay sabab (Iss Tarhaan) na phans Jay keh "Koi Ghair Allah Iss Ka Na Madadgarr hoo aur Na Safaarshi aur yeah kayfiyaat hoo keh agar Dinya Bhar ka Maawaza bhi day daalay tab bhi iss say na liya jaye, Aaisay hee hein keh apnay Kirdar kay sabab phans gai, In kay liyeah Neehayat Taiz Garam paani Peenay Kay Liyeah hoo ga aur Dardnaak Saza Hoo Gi Apnay Kufar Kay sabab" Al-Inam : 70[quote] Mazeed kay liyeah ziada door nahi jaatay, aap mashaAllah say din mein paanch baar namaaz parhtay hein aur har rakat mein sourat Al-Fateha parhtay hein.. Quote:
Na ibaadat Allah kay siwa kissi aur ke jaiz hai aur na ist'aa'nat hee kissi aur say jaiz hai.. in ilfaaz say shirk ka sad'baab kar diya gaya hai.. laikin jin kay diloon mein shirk ka roog raah pa gaya hai woh mafooq al'isbaab aur matehat al'isbaab ista'aanat mein faraq ko nazar andaaz kar kay awaam ko mo'ghaaltay mein daal daitay hain. Shirk tu yeah hai keh aisay shakhas say madad talab kee jaye jo zaahri asbaab kay lehaaz say madad na kar sakta hoo, jaisay kisee fout shudah shakhas ko madad kay liyeah pukarna, uss ko muskil kusha aur hajat rawa samajhna, uss ko nafae o zar bawar karna aur door nazdeek say har aik ke faryaad sunanay ke salahiyaat say bahrao war tasleem karna. Iss ka naam hai mafooq al'asbaab tareeqay say madad talab karna. Aur issay Khudaye Safaat say Mutsif maan'na. Issi ka naam Shirk Hai. Jo Bad'qismati say mohabbat e ooliyaa kay naam par musalmaan mulkoon mein aam hai. Mein yahaan munsib samjhoon ga kay aap kay saath Toheed ke teen aham qismoon ko bhi mukhtasar bayaan kar doon. 1- Toheed Rabo'biyaatp ka matlab hai kay iss kayanaat ka khaliq, malaq, razaq aur mud'bar sirf Allah Taala hai. 2- Toheeh Al-wahiyaat ka matlab hai keh ibadaat ke tamaam iqsaam ka mustehaq sirf Allah Taala hai aur Ibaadat har woh kaam hai jo kissi makhsoos hastee ke raza kay liyeah, Ya uss ke naraazi kay khoof say kiya jaye, iss liyeah namaaz, rooza , Haj aur Zakat sirf yeahee ibadaat nahi hein balkay kissi makhsoos hastee say dua o iltajaa karna, iss jay naam ke nazar wa nayaaz daina, uss kay samnay dast basta khara hoona, uss ka tawaaz karna, uss say tamaa aur khoof rakhna waghaira bhi ibadaat hein. Toheed Alwahiyaat yeah hai keh yeah tamaam kaam sirf Allah Tallah kay liyeah kiyeah jayain. Qabar Parasti kay maraz mein mubtala awaam o khwaas iss toheed Alwaheet mein shirk ka irtakaab kartay hain aur mazkoora Ibadaat ke bohat see qismain woh qabroon mein madfoon afraad aur foout shuda buzargoon kay liyeah bhi kartay hain jo sara sar shirk hai. 3- Toheed Safaat ka matlab hai keh Allah Talaah ke jo safaat Quran o Hadees mein bayaan hoee hein un ko baghair kisee taveel aur tehreef kay tasleem karain. Aur woh safaat iss andaaz mein kissi aur kay andar na mannain. Mandarja baala Tafseer Sourat Al-Fateha :5 Quran e Paak kay uss nuskhay say lee gaiee hai jo Saudi Arabia say Khadim Alharmain Shareefain Shah Fahad Bin Abdul Aziz Ke hidayaat pay shaya howa. Tarjuma Molaana Mohamma Jona Garhi kay Qalam Say Hai, Tafseeri Hawaashi Molana Salah Ud'Din Yousan Ka Tahreer Karta Hai aur Nazar e Saani Ka Kaam Doctor Washi Allah bin Mohammad Abbas aur Doctor Akhtar Jamal Luqman nay anjaam Diya. Nigraan e Alla Majmaa Almalaq Fahad. Brother I quoted everything from Quran, and anyone with little bit of knowledge do agree with above lines that what you are trying to preach here is nothing else but shirk. So please take due care in future. In future any such thread from you will get ZERO TOLERANCE. Wa.Salam |
|
#7
| |||||
| |||||
| zara is dua per ghor kejeye. 'mein tug se us haq k waseele se dua kerta hon jo sahilon ka tug per he'. Allah per Sahileen ka kia haq he????. agar sahileen se murad sawal kerne wale he...(jo thori bohat arbi mein jaanta hon is k lehz se to yahii matlab banta he). to is haq ko quran ne khud beyan ker dia he, aor wo ye k 'tum muge pukaro mein jawab don ga'. Yaanii is dua mein allah hi ki aik sift ka wasta de ker kaha jaa raha he k chunke to pukarne wale ki pukar ko sunta he is leye merii bhi sun. Is se 'zaat' ka Tosal kese nikalta he, is ki tashreek bhi ker dein Last edited by Inam; 12-26-2005 at 03:56 PM. |
|
#8
| |||||
|