It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on ~!~waseela k mozu par mazeed dalail~!~ within the Islam & Muslim Ummat forums, part of the Islam & Religions of World category; w/slaam janab basit sahib jee haan mery alfaz salkht tthy bilkul aur in ki aik maqool wajha hy k pehly ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#11
| |||||
| |||||
| w/slaam janab basit sahib jee haan mery alfaz salkht tthy bilkul aur in ki aik maqool wajha hy k pehly aap log aik qurani aayat ya hadeeth ka mutaliba karty hain. phir jab aap ko ba hawala peesh ki jay to phir mukhtalif kisam ki apni aqli tojehaat peesh kat k un aayat aur ahdeeth ko rad kart hain .aur aur aap ka ye amal mery alfaz se bhi ziyda sakht aur toheen ameez hy,meri naheen quran aur sunnat aur un mohdeseen aur mufsereen ki ji k main hawalajaat deta hon.aur main manta hoon k mery alfaz main baaz uqaat shidat aa jati hy aur ye shidat serf zahri had tak hoti hy likin aap ko apny alfaz aur un alfaz ki manwe shidat nazar naheen aati ?aaye main aap ko dekhata hon. (and anyone with little bit of knowledge do agree with above lines that what you are trying to preach here is nothing else but shirk. So please take due care in future.)ye hain aap k wo alfaz jo apny andar itna manwe aur galeez kisaam ki gali hain jo koi muslaman dosry muslaman ko naheen de sakta.aap ko maloom hona chaiye shirak aqeedy ka naam hy aur aqeeda kisi amal ka naam nheen bilky dilo demagh main hota hy aap mery bary main ays kiss tarah keh sakty hain k main mushrak hon aap ne na serf mujh ko ye gali de balky un tamam mufsereen ko bhi di jin k hawalajaat main ny cod kiyae hain.aap ko maloom hona chaiye k quran main mushrak ko najas se tabeer kiya gaya hy aur aap ny wohi khuch muj ko keh diya (mazaALLAH )main shirak jaysi gandgi se baree hon. aur raheen wo aayat jo ap ny cod ki hain meri samjh kiliy to kash aap khud un aayat ko samjh sakty k wo aayat khalis musreeken makkah ki muzammat main nazil hueen the jin ka aqeeda ye tha k hamry but hamri madad ALLAH k muqably main karty hain iss ka suboot jangy ohad main abu safyan k wo nara bhi jo us ny jang k khatmy par lagay yani laat aur uza hamra mola hy us k muqably main muslmanoon ny kaha k ALLAH hamara mola hy agar mushrekin bhi ALLAH ko mola samjhty to phir wo ye kehty k wo to hamara bhi mola hy.baqi aysi aayt ki tafseel kiliye bukhari shareef k babul fitnah parhiye jis main hazrat abdulallah bin ummar se rawayat hy k wo duniya ki badtareen qoom kharjiyon ko janty thy kiuon k un ka kehna tha k kharji wo ayaat jo botoon ki muzamat main nazil hui hain musalmano par lagty hain aur is kisam ka waqea jangy safeen main bhi peesh aya jab hazrat ali aur hazrat ameer moawiya ny aps main sulah kiliy aik aik admi ko hukam chuna to kharji grooh ye keh kar alehda ho gaya k aap logon ny shirak kiya hy makhlook ko hukam chun kar hukam serf ALLAH ka hy aur phir unhoon ny ye ayat tilawat ki...[inilhukmo ila lilah]to hazart ali ny farmaya badbakhto ayat to saheeh tilawat ki hy likin tum is ka mafhoom naheen samjhy .main aap ko batadoon k muslmano ko mushrik kehna koi nai baat naheen ye fitna sahaba k door se chala araha hy jin logon ny sahaba ko moaf na kiya un ki nazar main, main kiss kheet ki mooli hon.iss ki illawa bhi AAP asw ki bohat se ahdeeth gawa hain k aap asw ny farmaya mujhy apni ummat main sab se ziyada khatra iss baat ka hy k khuch log quran par par k meri ummat ko mushrik kaheen gy .tafsel kiliye dekhiye sehaah sitta ki mutadad rawayat. baqi aap ny sura fateha ki ayat cod kar k matehtul asbab aur ma fouqul asbab ki behas cheeri hy jiss main aap ny apna nazeriya ye bataya hy aap k hi alfaz cod kar raha hon....[Shirk tu yeah hai keh aisay shakhas say madad talab kee jaye jo zaahri asbaab kay lehaaz say madad na kar sakta hoo, jaisay kisee fout shudah shakhas ko madad kay liyeah pukarna, uss ko muskil kusha aur hajat rawa samajhna, uss ko nafae o zar bawar karna aur door nazdeek say har aik ke faryaad sunanay ke salahiyaat say bahrao war tasleem karna. Iss ka naam hai mafooq al'asbaab tareeqay say madad talab karna. Aur issay Khudaye Safaat say Mutsif maan'na. Issi ka naam Shirk Hai. Jo Bad'qismati say mohabbat e ooliyaa kay naam par musalmaan mulkoon mein aam hai. ] yani aap seraf mafouqul asbab k bab main jo madad makhlook se mangi jay usy shirak samjhty hain .jo k aap ki kuj fehmi aur intahi ilmi mugalta hy mery bhai mada chay matehtul asbab ho ya mafouqul asbab dono hi ALLAH ki madad hain ab mafouq ul asbab ko ALLAH ki madad aur matehtul asbab ko bandy ki madad samjhna ye ghalat hy kiuon k asbab bhi ALLAH ny peda kiye hain aur un main taseer bhi usi ki peeda karda hy ab jo koi bhi matehtul asbab ko serf bandy ki apni zati madad samjhy ga wo mushrak ho ga .aur jo banda serf asbab ar nazar rakhy aur asbab k peda karny waly ko bhool jay wo mushrik hy madad donon surtom main ALLAH hi ki hoti hy chay asbab k tehat aay ya asbab k faouq aay.yehi wajha hy k ahle biddat ko aaj tak iss masly main shdeed mughalta hua hy jiss ki bina par wo shirak ki tareef main khud sakhta pabandiyon ka zikar karty hain kabhi kehty hain k kisi ko door se pukarn shirak kabhi kehty k kisi murda ko pokarna shirak hy.mery bhai jis kisi ko bhi haqeeqi hajat rawa samjh kar poukar jay ga to wo us ki ibadat ho gi aur ibadat chay door se ki jay tab bhi shirak chay zinda ki jay tab bhi shirak chay murda ki ki jay tab bhi shirak chay qareeb waly ki ki jay tab bhi shirak kiuon jab aqeeda hi ye hy ye hasti zati nafe nuqsan ki malik hy to phir door aur qareeb aur zind aur murda ki qeyed lagany ki zaroorat naheen shirak har jaga shirak hi hota hy.jays mushrekeen apny fout shuda logon ki ibadat karty thy aur feraon ki ibadat us ki zindgi main hi hoti thi.ab main aap ko apni iss bat par quran ki tafaseer ase hawalajaat peesh karta hon . [iyaaka nabud wwaiyyaka nastaeen]ay perwardegar ham teri hi ibadat karty hain aur tujh hi se madad mangty hain. ibadat; ka lugwi matlab hy khuzu tawazu aur intahai tazlul.(lisan ul arab ccopy no.3page no.273)az allama ibny manzoor afreeqi. ibadat ka istalahi mani: hy ulohiyat k aqeedy ka sath kisi ki tazeem karnaaur itaat karna.quran main hy k ay logo apny rab ko illah maan kar us ki ittat karo aur iyyaka nabud ka matlab hy hum ayteqade ulohiyat ke sath teri tazeemo ittat karty hain(kitabultareef page no.63matboa misar)az allam meer sayed shareef. ye to tha ibadat ka lug wi aur istlahi mafhoom mutabar lugat ki kitaboon se. ab ham aaty hain iyyaka nasteen ki tafseer ki taraf kiuon issi masly main ikhtilaf hy.iyyaka nastaeen ka mani ye hy k ay hamry rab ham apni ibadaat aur apni tamam moamlat aur itaat main serf tujh hi se madad talab karty haintery sewa aur koi madad gar naheen kufar apny boton se jab k hum sraf tujh se madad mangty hain. sheekh mehmood alhasan deobandi iss ki tafseer main likhty hain us zaat pak ki sewa kisis se madad mangni najayz hy haan agar kisi maqbool bandy ko mehaz wasta rehmat illahi jan kar aur gair musakil samjh kar istanat e zahri us se kary to ye jayez hy kiuon k ye ALLAH ki madad hy(hashiytul quraan page no.2 idar almoaraf karaci) mufti mohammad shfee deobandi iss ki tafseer main likhty hain;aur haqeeqi tour par ALLAH ke sewa kisi ko hajat rawa na samjhy aur kisi k samny dsty sawal na draaz kary gar kisi nabi ya wali wegera ko waseela jan kar ALLAH se dua kary to ye iss ayat k munafi naheen.(tafseer moareful qran matboa idara almoarf karaci). ye to theen mukhalifeen ki apni tafaseer k hawalajaat. ab ham kuch behas phir mafouqul asbab aur matehtul asbab k zeer karty hain to mery bahi jaysa k main pehly wazy kar chuka hon k jo koi bhi insaan kisi bhi kisam ki mada chay asbab ke tehat ho ya asbab k gaouq us madad ko GAIR ALLAH ki mustakil madad samjhy ga wo mushrik ho ga.tafseer madarkul tanzeel , tafseer khazan aur tafseer e jamal main hy k har kisam ki istanat ALLAH ky sath khas hy chay wo asbab se mawara ho ya tehat kiuonk mutany haqeeqi ALLAH ki hi zaat hy.gour farmaiye mufasereen to har kisam ki istanat ALLAH k sath khas kar rahy hain aur aap serf mafouqul asbab main main ALLAH ko mutasaref maan kar quran main aik badtareen galti kharahy hain. ab ham quran se mafouqul asbab umoor main imdad ki nisbat makhlooq ki tarf kary k hawala se dalil deen gy sura namal main hazrat salman k sahabi wala waqea aap ko yaad ho ga jiss main unhoon ny malika belqees k takhat ko lany kiliy apny khudam se madad talab ki to aik jin khara hua aur arz ki k main aap ki mehfal barkhasat hony se pehly pehly wo takhat jo k hazaroom meel k fasly par hy aur bohat bhari hy ko peesh kardeta hon likin salman as ny farmaya kon hy jo iss bhi jaldi lay to aik insaan jo k aap ka sahabi tha aur quran kehta hy k us k pass kitab k ilam tha us ny arz ki main aap ki palak jhapkny se bhi pehly wo takhat hazir kardon ga.ab aap bataiye k hazrat salman ka ye madad talab karna matehtul asbab that ya fouq . aur agar fouq ul asbab tha aur yaqeenan tha aap bhi many gy to aik pegambar ny makhlook se aysi madad kiuon talab ki kaya wo naheen janty thy k ye kaam serf ALLAH kar sakta hy agar mainmkhlooq se talab karoon ga to shrak ho ga.ab mazeed dalail hadeeth se doon ga. yazeed bin abiubaid se marwi hy kmain ny salma bin akooh ki pindli par zakham ka nishaan dekha to poucha ye kaya hyto unhoon ny kaha k khabar k roz mujhy shdeed choot lagi yahaan tak k logon ny kaha k salma shaheed ho gaya main AAPasw ki bargah main pohncha aap ny teen dafa dam farmaya us k bad aaj tak takleef naheen hui.(miskat shareef page no.533) hazart umulmomenen k haan pani ka aik payala tha logon ki adat thi jab kisi ko ankh main ya kisi aur jaga zakham pohncta to wo log aap k pass hazir hoty aap k pass hazoor k moay mubarak thy jin ko aap nalki ki ghanti main rakha karti theen aap wo moay mubarak nikal kar pani main dalti aur log wo pani pee ka shifa yaab hoty..(mishlkat 390) tesrei rawayatasma binty abi bakar se hyun k ass aik trashmani juba tha jis ka gerban rasham ka thajo hazart aysha k pass tha un ki wafat k bad aap ko mila ye juba AAP asw ka tha jesy aap pehna karty thypas ham beemaronkiliy issy dhoty aur is k waseely se shifa talab karty..(miskat 374) in ahdeeth se maloom hua kAAP asw k pehny huy kaproon aap k baloon aur aap ki pohnk se log shifa hasil karty thy ab gaour talab amar ye hy k libaas baal aur phoonk hosoly shifa kiliy sababe aadi naheen hainALLAH ny adatan libas aur baal aur poonkh main shifa naheen rakhiagar hoti to chaiye tha k har aik libas baal aur poonkh main hojiss tarah adatan jaree bootiyon main shifa hoti hy likin libaas baal aur poonkh main hagiz adatan shifa ALLAH ny naheen rakhi magar phir bhi sahaba ka in cheezon se shifa hasil karna mafouqul asbab umoor main AAP asw se madad talab karna hy. agar aap ka bayan kiya hua qaeda maan liya jay yani serf matehtul asbab mian logon ki madad mangi jay to phir salma bin akooh ko chaiye tha k pindli toout jany k baad kisi jarah ya tabeeb k pass jaty kiuon k illaj kiliy tabeeb aur jarah sababe aadi hain likin agar unhoon ny aap k bayan karda usool k mutabik shirak kar hi liya tha to AAP asw ko chaiye tha k aap farmaty k mery pass tooti hui tang laykar kiuon aay ho main to kisi ko nafa aur zarar naheen pohncha sakta tum ny mafouqulasbab main meri madad hail kar k shirak kiuon kiya . note :aik aham mughalta ka izala. baz hazrat iss ,muqaam par ye kehdety hain k ye nabi asw ka mujza tha aur mojza ALLAH ka fail hota hy.ye sara sar dhoka aur fareeb hy kiuon k nabi ka mojza ho ya wali ki karamat ya aam logon k afaal sab ka haqeeqatn khalik aur fail haqeeqi ALLAH hi hymakhlook ki taraf in sab kamoon ki naisba t khuwa matehtul asbab hon ya mafouqul asbab mehaz zahri aur suri tour par hoti hy. ab akhir main ye dua hy k ALLAH ahm sab ko deen ki saheeh samjh aata farmay aur aik dosry se ikhtalaf ki surat main aik dosry par shoirak mjaye laanat ko chaspan kary se mehfooz rakhy ...aameeen...w.sllam aabi Last edited by aabi2cool; 12-27-2005 at 06:07 AM. |
|
#12
| |||||
| |||||
| Great work aabi................ ............... thnks k aap logon ko achy tareeky sy samja rahy hain Allah aap ko es ka ajer dy aamen.. |
|
#13
| |||||
| |||||
| Ise Issue par aik post kar raha hoon Insha Allah main @};- |
|
#14
| |||||
| |||||
| Quote:
|
|
#15
| |||||
| |||||
| Quote:
app nai khud aik post ar abhe kaha hai kai Quran or tafsir kai sath jawab to wahaan App ko os kai tehat he jawabat daey gaey heen @}- baqi app ki is post par baz dalail ko dekh kar to Afsos bhe hota hai mujh ko |
|
#16
| |||||
| |||||
| Quote:
|
|
#17
| |||||
| |||||
| yar Irfan bhai or baqi friends app kin k chakaron mein phans gay ho yea wo log hein jo sirf apney app ko ahle sunnat wal jamat samjtey hein baqi sub in ki nazer mein wahabi hein yahan tak k inhon nein saudiarabia ko bhi nahin chora jahan say islam phela hai us ko bhi yea bad din khtey hein yeahi waja hai k in ko vesey bari mushkil say miltey hein yea maufi mangteyhein un say phir saudi governmant in ko vesy deti hai in logon k nazdeek haq in k ulma ka kalam hai jis ki misssal inhi k alfaz hien jo inhon nein ik rplay mein teasleem kiya hai in ki is halat ko dekhtey hue mere kheyal mein in ko apni jamat ko AHLE BIDAT WAL INTESHAR keh ker pukarna cha yea
__________________ "And die not except in a state of Islaam" Soorah al-Imran (3):102 |
|
#18
| |||||
| |||||
| Quote:
umeed he aap is baat ka kheyal rakhein ge.
__________________ Learner ................ |
|
#19
| |||||
| |||||
| Quote:
baqi app ko jawab deya hai app sumjheen to warna na sumhnai ko main keya keh sakta hoon |