
12-25-2004, 09:52 PM
|
 | umm-e Awwab o Mushda | | | Join Date: Aug 2003 Location: kuch khabar nahi Age: 30
Posts: 4,969
Country: Tutorials:
0 My Mood: Thanks: 1
Thanked 19 Times in 15 Posts
Nominated 0 Times in 0 Posts TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 1055 | |
mujhe laakh ho bharosa, mery dill ka kya thikana | | mujhe laakh ho bharosa, mery dill ka kya thikana
kabhi be-naqaab ho kar merey samney na aana
sar-e bazm tum Khudadra mujhe yoon na azmana
meri samt is ada sey kabhi ab na muskurana
ghum-e zindagi sey mumkin na howa nibah mera
ye karam hay terey ghum ka mujhe ajnabi na jana
terey raaz ka tahaffuz mery bas main ab nahi hay
k nikhar k ho gai hay meri har nazar fasana
ye hansi, hansi nahi hay, ye faraib hay hansi ka
na isey samajh sake tum, na samajh saka zamana
koi taza hadsa phir meri raah tak raha hay
meri samt uth rahi hay wo nigah-e dil-barana
terey ghum ki yaad-garain merey shair meri ghazlain
teri ik nazr ka hasil mera zouq-e shairana
__________________ guzar hi jay gi terey baghair bhi laikin
bohat udaas bohat sogwaar guzre gi |