Kab tak rahoon mai khaufzada apney aap sey
Ik din nikal na jaaoon zara apney aap sey
Jis ki mujhe talaash thee wo to mujhee mai tha
Kiun aaj tak mai door raha apney aap sey
Dunia ne tujhko mjera mukhatib samajh liya
Mahve sukhan tha mai to diye apne aap sey
Tujh se wafa na ki to kisi se wafa na kee
Is tarha inteqaam liya apne aap aap sey
Laut aa daroon-e-dil se pukare koi mujhey
Dunia ki aarzoo mai na jaa apney aap sey