Aaina dar Aaina
Is baar woh mila to ajab us ka rang tha
Alfaaz mein Tarang na lehja dabang tha
Ik soch thi ke bikhri hui khaal-o-khad mein
ik dard tha ke jis ka shaheed ang ang tha
Ik aag thi ke raakh mien posheeda thi kahin
ik jism tha ke rooh se masroof-e-jang tha
main ne kaha ke yaar tumhein kya hua yeh
usne kaha ke umr-e-rawaan ki ataa hai yeh
main ne kaha ke umr rawan to sabhi ki hai
usne kaha ke fikr-o-nazar ki saza hai yeh
main ne kaha ke sochta rehta to main bhi hun
usne kaha ke aaina rakha hua hai yeh
dekha to mera apna hi aks-e-jali tha woh
woh shakhs main tha aur himayat ali tha woh