Re: Kiya Sawaal Karti Hay | | salaam hayaa saaHiba,
aapkii nazam nazar-navaaz huii...aapke andar kii ek mudabbir shaa'ira aur andaaz o bayaan kii chaashnii rakhnewaalii ek kaamiiyaab aur FIRST class shaira nazar aatii hai jo din ba din apnii shaa'irii kaa lohaa manvaa rahii hai...aapkii she'rii salaaHiyatoN kaa maiN qaail o ma'qool huuN...ham aapkii shaa'irii se bahot mutassir huye ahiN...masha Allah...Allah kare zor-e-raqam aur ziyaada.
yeh nazam aapkii be_had Khoobsoorat hai. bahot ravaanii hai aur soch bhii zabardast. yeh baat jo maiN kah rahaa huuN vo sirf is nazam ke tanaazur meN nahiiN kah rahaa bal k maiN kaii roz se aapke kaii taKhliiqaat paRh chukaa huuN.
hameN is apnii taKhliiqaat ko sahre karne ke qaabil samjhaa...aapkaa bahot bahot shukria. aise hii likhtii rahiye aur yaqeen jaaniiye yeh hamaaraa va'da hai k ham apne taskiin e zauq e shaai'raana baKhshte raheNge. ek baar phir shukria ke saath
faqat Khaak-nashiiN,
Hashmat Usmani
__________________ Khayaal hogaa, junuun hogaa, bahot abhii dil kaa Khoon hogaa bahaar hai door kii Haqeeqat, bahaar rang-e-chaman nahiiN hai Ali Z. Usmani [mere vaalid marHoom] |