Originally Posted by khush okay 1 more Qissa 1 Qissa Taweez or Badloon ka  yeah Qissa bhi humaray hi Buzurgoon ka ha, Humaray Dada jaan, Allah luki banday thay, Dam bhi kr diya krtay thay or kabhi ager bohaaat israr krta tha to koi Taweez ya perha hoa pani wagayra bhi day diya krtay thay, laykin amoman is cheez say bhagtay thay, bas apnay kamoon or apni ibadaat may mashgool raha krtay thay , chunkay Aada jaan Perhnay perhanay walay thay so humaray 1 Taya ji nay bhi shooq shooq may Dada jaan say kuch taweez likhnay siikh liya thay, laykin kabhi likhnay ki na jur-rt ki thi, or Abba ji ka itna der bhi tha keh on ki ijazet kay bagair yeah kam krnay ka kabhi khiyal bhi nahi aya tha, Taweezoon kay baray waysay mukhtalif arain hain, kaha jata ha keh taweezoon ko MANNA Shirk ha, laykin ager koi Masla derpaysh ho, or yeah soh kr Tawweez liya jay keh Allah ka kalam shafa day to 1 hed tk yeah amel sahi ha, Laykin amoman aj kel jo khawateen Peer Faqeeroon kay haan jati hain , vo thora sa galat hi ha or Shirk may count hota ha, keh ap ALlah say maded kay bagay Peeroon or aweezoon pr itna iman rakh rahay ho keh vo ap ko bacha lay ga laykin bayher haal, Poranay door kay log zara saday hoa krtya thay , or uu hi taweez laytay thay keh 'Ap bhalay admi hain, Allah kay kalam say humain Shafa dain' bayherhal, Baroon kay baqool humaray Dada jaan phoonk Jhaar krnay say ktratay hi thay, bas koi bimar ho jay ya Kuch paryshani ho to BAs Dam kr diya krtya thay, laykin bar bar nahi, bas 1 hi baar , khiar qissa taya ji ka tha keh 1 bar on kay pass Muhallay ka koi banda aya ,,, or os nay kaha keh "ap kay abba ji to taweez nahi bana kr day rahay, ap hi taweez likh dijiya, na may on ko bataoon ja na hi ap ziker kijiya ga, bas humari paryashani door ho jay gi" bhalay door kay bhalay banday, taya ji ko ryahem aa giya or onhoon nay Dada jaan say ijazet kay bagair hi 1 chuta sa taweez likh kr day diya, Tawez likhnay , or laynay kay baray may bhi bari ihtiyat kin jatin hain, kaha jata ha keh bayheq ap ko maloom ho keh taweez kay ander bas Ayet-QUrani hi hain, Taweez khool kr nahi daykhna chahiay,masla hel ho jay to os ko JALA dayna chahiay. Baaz Taweezoon may Kuch Tables bana kr Kuch Hurooz likhay jatay hain, jo kuch khaas Ayaaat ka hawala hotay hain, or kuch taweezozon may jo bas , " chuti roz marah ki parayshaniion kay liay hotay hain" on may BAs Ayaat hi likhi jati hain, laykin pir bhi IN sab kay baray may yahi Takeed ki jati ha keh Taweez ko khulo nahi, Takhleef dor ho jay to bas jala dayna chahiay, falto may jama kr kay bhi rakhnay say mana hi kiya jata ha . Isi trha yeah bhi kaha jata ha keh baysheq ap ko taweez likhna aata ho ,pir bhi Taweez kisi Baray Perhnay perhanay walay Banday say BAKAIDAH IJAZET lay kr likhna shoro kiya jata ha, nahi to Baray Maslay per jatay hain, bas aysa hi humaray taya ji kay sath bhi hoa, Onhoon nay Dada jaan say bagair ijazet kay taweez likh to diya, laykin ab on ko raat may khufnaaq Khuaab anay lagay, on ko lagta keh koi on ki charpai othay Hawaoon may or raha ha, .... 1, 2 ... baar to onhoon nay wayhen samjha, or Qurani ayaat perh kr suna shuro kiya keh shaid aysay hi daraonay khuaab anay lagay hain, jb pir bhi uu hi muselsel 1, 2 din aysya hi khuwaab ay to vo paryshan ho gay, or ab kay baar onhoon nay khuaab may poch hi liya keh bhai kon ho mujhy kaha lay ja rahay ho to on ko awaz aai, keh " baray shayr ban rahay thay, logon ko taweez likh kr day rahay thay , hum tumhain Badloon ki sayr kr wa rahay hain" or taya ji kehtay thay keh "mujhy os waqt laga keh waqai mayri charpai Badloon may ur rahi ha,, khuuf kay maray mayri ankh khul gai" aglay din taya ji nay dada jaan ko dertay dertay kissa sunaya keh "abba ki may nay ap ki ijazet kay bagair hi falan sahab ko 1 chuta sa taweez likh diya tha ab mujhy rooz raat ko khuaab may Jin BAdloon ki sayr pr lay jatay hain, mayri charpai Badloon may lay jatay hain, mujhy to aysa hi lagta ha, or vo kehtay bhi yahi ha".. Dada jaan Baroob thay, laykin dantay kem kem hi thay, so onhoon nay aya jaan say kaha keh aj ager vo tumaharay khuaab may aan to os say kehna "Noor Muhammad(Dada Jaan) ka nam suna ha , May on ka bayta hoon, bhag jao yaha say or dobara met ana" Baray kehtay hain keh os din kay baad say Taya ji ki charpai hawaoon may jana band ho gai, or os kay baad Dada jaan nay taya jaan ko aweez likhnay ki ijazet bhi day di, or humaray taya jaan kabhi kabhaar bimarioon or kuch chuti muti paryshanioon kay liya taweez likh diya krtay thay, laykin bohat kem .. or sab kehtay hain keh on kay hath may shafa bhi thi Allah miy ahumaray Dada jaan or Taya jaan dono ko Jannat may buland derjaat ata karay, Ameen Kissa Muk giya |