It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
|
This is a discussion on Islam and Valentine's Day...... within the Gup Shup forums, part of the Mouj Masti category; Aslam-o-alikem.... iss topic ko laganay ka maqsad yeh hai k abi kuch din pehlay yahan par 1 thread lagai gai ...
| |||||||
| Register | Search | Today's Posts | Mark Forums Read |
|
#1
| ||||
| ||||
| Aslam-o-alikem.... iss topic ko laganay ka maqsad yeh hai k abi kuch din pehlay yahan par 1 thread lagai gai thi "shud v celeb valentone's day" oss mein 95% logon k votes NO k liye thye...aur kuch baray hi intersting se replies thye....like....hum muslim hai so we shudn't....husb wife kar saktay hain....etc etc.... ab main sab ko pehlay kuch batana chahon ga phir sawal pochon ga.... muje sirf itna janna hai k alhamdulillah hum sab musalman hain....valentine's ki baat aai toh shaid kuch zeda feel hoa....toh kya tab hum musalman nahi rehtay jab hum birthday celebrate kartay hain??...teacher's day, mother,s day,father,s day etc celebrate kartay hain.....baki bateen toh aur taraf hamaray zinda dilanay lahore mein toh basant ki tiyari eid se zeda ki jati hai....aaj kal aap loog dekh hi rahay hon gaye....shadi ki rasmon ko le len....shadi se kai kai din pehlay dholak bajai jati hai jo larkian bajati hain....shadi walay din tiyarian larkay aur larkion ki....jab dulha dulhan ghar mein pehli bar enter honay lagtay hain toh darwazay pe oil wagera giraya jata hai...pata nahi dulhay ka engen jam hota hai shaid jis ko rawan karnay k liye aysa kia jata hai.....tab kya hum muslim nahi hotay??.....jab kisi ki death ho jati hai toh janab chicken ki deghain pakti hain...marnay wala chahy bhook ki wajha se mara ho....mera in sab baton se yeh matlab nahi hai k valentine's day ko main sahi sabit kar don just muje bara ajeeb laga yeh sab k hum sab kuch kar lete hain aur tab hame yeh yad nahi aata k hum muslim hain aur jab valentine's day ki baat aai toh yeh keh dia k hum muslim hain......sab bateen aik taraf rakh k pehlay muje yeh batain k aik larkay aur aik larki ka shadi se pehlay milna jaiz hai??valentine's day toh iss k baad ki baat hai....hum ko oun k iss tarah milnay pe itraaz nahi hai han valentine's day pe itraaz hai.....islam mein aurat k liye jo hukam hain...bina parday k ghar se nahi niklna....toh bina parday k oun ko dekh k hamaray ander ka woh muslman kyon nahi jagta jo valentine's day ka nam sun k jaag geya hai??? main apni baat karta hon main sab se agay hon...main har rasam karta hon chahy woh koi b ho...lekin jis chez ko pasand nahi karta ossay islam ka naam nahi deta....ager aap valentine's day ko galat samjhtay hain toh yeh mat kahain k hum muslim hai iss liye boz ager aap muslim hain toh aap ko oun sab chezon se b dor rehna chahiye jo maine ooper beyan ki hain..... mera question ab aap loogon se yeh hain.... this question "SHOULD WE CELEBRATE VALENTINE'S DAY??" this is wrong question.... my question is "CAN WE CELEBRATE VALENTINE'S DAY??...if no toh iss ki kya reason hai??ager toh yeh reason k hum muslim hain toh phir hum baki tehwar kyon celebrate kyon kartay hain?? aap k replies ka wait rahay ga..... Waslam....
__________________ ALVIDA.........!! |
|
#2
| ||||
| ||||
| Assalam o Alaikum br />
Apki Posting waqai mujey to bohat passand ayee...baqol aap key siraf Valentine day to nahi jis ki tarraf unho ney doosron ki tawajoh mabzool karwai...aur bhi hain..Shadi Biyah..aur sab kuch....inhey is k barey main bhi sochna chahiye... bohat sey logon ney NA to kardi..magar mujey ayse he dil se nahi lag raha k kisi ney dil se reply ki hogi...bas mehfil garam rakhney keliye kiya hoga... (Aggar apni baat karon dili tor per DIL UKHTAA gaya hai mera...woh kushi jisey main doond raha hon...mujhey nahi mil rahi sab kuch kar daik liya hai..lekin maloom nahi loag abb tak kion lagey hoye hain is k peechey.. aur rasmoon k muqabiley main ek MUFTI hain un k kafi kareeb raha main..un sey kafi kuch sabaq mila aur achey burey ki tameez aai... main ek PATHAN hon..Humarey haan bhi kafi rasmain hoti hai..lekin us k results kuch bhi nahi... Merey kayal se aur baqol Mufti sahib key. "YE SARI CHEEZAIN ISRAAF main aati hain.aur Wasting of time..aur apney aap se koi nai cheezain takleekh karna mean shaitaan ki pairvi karna key hain iska best hal "SAAGI" hai jitni apnaow gey utney Buland raho gey.. Nice Posting Lucky Bhai....
__________________ Jo Badal Jaye main Zamana Nahi Jo Pisal Jaye main woh Deewana Nahi |
|
#3
| ||||
| ||||
| topic pasnad karnay ka bohat shukriya ali bhai.....be-shak bohat si aur chezain hain....janay kyon hum bina sochay bina samjhay kuch b bol dete hain....maine kaha tha kaheen k pehlay hum NA kar dete hain aur waqt aanay pe sab kuch kartay hain as u said topic garam rakhnay k liye......pata nahi itna kuch ho janay k baad b hum sochna kab shuru karain gaye.....
__________________ ALVIDA.........!! |
|
#4
| ||||
| ||||
| lucky je main app ki baat say 100% agree karti hoon kay ager hum waqai muslims hain to humain har tehwaar ko chorna ho ga jo islam main nai hai yai dholak wagera shaadi pay mana kea gayea hai lakin pakistan main nay kai shaadion main daikha hai kay kai haftoon pehlay dholak rakh di jaati hai. islam nay to yai bi kaha hai kay larkoon or larkion ko alaida hona chayea jaab wo balig ho jayain to iss baat pay loog kuin nai dayhaan daytay yai kehnay ki batain kay hum muslim hain or yai celeb nai kartay or wo nai kartay april fool bi kai dafa manayea jaata hai kai dafa kisi ko fool bana kay uss ki jaan li jaati hai or pir kaha jaata hai OH ME LORD DONT U KNO ITS APRIL FOOLS DAY or kabi kisi nay april fool ki history pari hai. ager itna hi islam kay har pehloo ko daikh kar chaltay to aaj taak hamara mulak kahan poonch gayea hota.
__________________ wen life gives u hundred reasons to cry give life thousand reasonz to smile. |
|
#5
| ||||
| ||||
| Quote:
i seen mostly shadion main isi liye ban sawanar kar jatey hain..k koi bhi larka/larki kisi IDEAL ko daik kar ya kisi achey larka/larki ko daik kar FRIENDSHIP ki offer kar sakain..shadi waley apney kaam se nahi farigh hotey aur peechey ye loag apney apney DAAOW PAICH laganey k chakkar main hotey hain... Ya Allah merey Mulak ki sab Izzaton ki Hifazat karna..aur sab ko apni Amaan main rakhain..Ameen
__________________ Jo Badal Jaye main Zamana Nahi Jo Pisal Jaye main woh Deewana Nahi |
|
#6
| ||||
| ||||
| Quote:
aj ki duniya itni advance hai k shaid hi koi ho ga jis ko pata na ho k april fools day ki haqeeqat kya hai....par sab kuch janaty hoye b hum kartay hain......xmax tak ab celeb hota hai pakistan mein...... Allah hi reham karay na sirf pakistan par balke sabhi muslmanon par jo duniya k kisi pe khitay mein bastay hain....ameen....
__________________ ALVIDA.........!! |
|
#7
| ||||
| ||||
| We shoudln't en we can't celebrate v-day BECAUSE we are MUSLIMS 1- sab tehwar chaey basant ho ya v-day mother day ho ya father day in ky background main app agar stories parhian to wo christians ya hindoon sy related hian. 2-har muslman ko chahiy keh wo har wo baat jo Islam main nahi hia us say bachay.....ab ya nahi keh agar koioot boly to soochykeh mujhy chori bhi kar leni chahiy...agar aik gunnah kar rahy hain to sab darwazy gunnah kay khool lena ghalat hia 3-shadi biha ho ya koi foot ho gai ho bohot si baddat humary muhashiry main chal rahi hian.....agar har koi aesa hi kehny lagy keh wo kaam jo hota hia to is main kia harj???ya positive thinking nahi hia....... har aik ko apnay hisa ka kaam karna aur sahi baat ko pheelana sawab ka kaam hia 4-main ya samjhti hoon kay wo tamam ghalat rusoom o riwaj jo hum logon main barhty ja rahy hian......logon ki Islam sy dori ki waja sy hia..aur dosri bari wahja media hia...jo in bytuky festivals ko phela raha hia
__________________ ![]() |
|
#8
| ||||
| ||||
| ASSALAMOLIKUM!!!!! Yup i totally agree wid humey koi problem nahi honi chaiye is bat ke sath k hum valentine celebrate krein ya nai jub father mother day celebrate krtey ya birthday to hum muslim hotey per jub hhum apne husband ya wife ya fianc'e ko wish krtey to hum muslim nnahi rhtey hum daira islam se kharij hojatey ............. jub k ye nahi honi chaiye jin logon ne sari life hmarey sath guzarni hai un ko wish b nahi ker sktey?........ c'mon yaar we should not have problem like dis they are our life partner sari zindagi hmen un ka sahara chaiye agr year me 1 din unke liye rakhen to kia fark prta............. Han llakin jub yehi valentine hum kisi unknown person like while walking on d street hum kisi ko jake wish krein to ye galat hai ye sub nahi hona chaiye per agar hum apne spouse ya fianc'e ko wish krein to galat nahi hai or na hi Islam humein GIRLFREIND ya BOYFRIEND rakhney ki ijazat nahi data................ fine to ap in logon mat kro but do wish your fianc'e n foremost your spouse......... |
|
#9
| ||||
| ||||
| hummm.......Hamaray bohut say rasm-o-riwaj jou filwaqt hamaray culture ka hissa bantay ja rahay hain woh baseless hain.....Nsal dar Nasal khuch batoon kou adopt ya transfer kya jata raha hay....aur hum lakeer k faqeer banay unn par amal kiyay ja rahay hay......lakeen agar abhi agar hum yeh khaitay hain k VD is not part of culture n religion as well...so i think it's enuff valid reason .... ![]() First drop of water has effect.....agar hum yahan say shuruaat karain aur aahista aahista Sho'ur zaat ka istimaal kartay huay ghalut aur baybunyaad Rasom-o-riwaj ka bicote karain.....abb yeh iss generation ka farz hay k amal k rastay par kadam rakhay aur next generation kou aik achi guideline day..... ![]()
__________________ Salgira mubrOuk HG ![]() |
|
#10
| ||||
| ||||
| there is 1 more point CT....u know hum sirf valentine's day k khilaf hain....hamari genration sirf valentine's day ka bicote karay yeh kahan likha hai.....valentine's day sal mein 1 bar 1 din aata hai....jab k shadi behya...death...birt hday aye din hoti hi rehti hain....hame oun chezon pe dhean zeda dena chahiye....mera iss post ka matlab sirf 1 msg pohanchana tha oun k liye jo valentine's day ko galat keh kar baki sab tehwar manatay hain aur shaid valentine's day walay din b kisi se pechhay na rahain..... hamara calture hum ne khud hi banaya hai...koi toh aa kar nahi bana geya....hum jese hi thye woh loog b....aur aaj hum kya kar rahay hain....pehlay shadion pe 10 rasmain thi....aj har koi sochta hai yar woh rasmain porani ho gaen iss bar kuch nea karna hai...hamari hi genration ka hal hai yeh.....aur jo new woh kartay hain woh ahista ahista 1 rasm banti jati hai....bjaye iss k..k hum kuch kam karain hum iafa kartay ja rahay hain..... maine pehlay b kaha tha k kisi ki death ho jaye toh janab ghar walay oss maranay walay ko bhol kar iss koshish mein lag jatay hain k jo loog ayeen gaye oun ko khilana kya hai....izzat chali jaye gi ager chicken na khilaya toh...wat the hell.... main nahi chahta k hamari behas ka koi nateeja na nikly....ager 10 loog b sochna shuru kar den toh muje bohat khushi ho gi......aur ager aap sabhi tehwar manatay hain aur future mein b manaye gaye toh dear frndz valentine's day poray josh se manain oss mein kuch galat nahi hai.....khuda sab ko sahi raah dikhaye...ameen..
__________________ ALVIDA.........!! |
![]() |
| Tags |
| islam |
| Thread Tools | |
| |