Re: *^^ Drama ^^* | | Quote: ARCHIVE Ilham: Baba jaan Baba jaan !!!! (ILham cheekhte hoye ghar main dhakhil hoyi, uske Sabeeh chahre par ghussay ki lali thi aur nath'nay phoolay hoye thay...........) Suna aap ne kuch !!! Aunty Uncle nay Farva ka addmission bina uss say poochay 'Double Maths, Stats' main karva diya hai jabke 'Matric' main ussay 'Science' bohut pasand thi aur uske sab say ziada numbers bhi Science subjects main hi aye thay.......... (ILham ne bila takan bolna shuru kiya tu pher bolti hi chali gaye) (Col. Sarfaraz Zair e Lab muskuratay howay chai ka cup side table pay rakhty hein.. aur haath kay isharay say ilham ko sofa pay baithnay ko kehtay hein.. Ilham paoon patakhtay howay aati hai.. kitaboon ka bag dharaam say zameen pay batakhtee hai aur tangain bisaar kay dada kay zanoon pay sar rakh kay dub'dabai ankhoon say dada ke taraf jawab talab nazroon say daikhti hai.) Col. Sarfaraz: Ilham kay mathay pay ubharti paseenay ke bondoon ko ungliyoon ke poroon say ponchtay howay kehtay hein.... daikhoo baita.. Maa baap kabhi bhi olaad kay dushman nahi hootay.. haan aisa zaroor hota hai.. kabhi kabhi bachoon ko waldain kay kiyeah howay faislay pasand nahi aatay.. woh samajhtay hein.. un kay saath zulam kiya jaa raha hai.. bhala koi apni olaad kay saath zulam kar sakta hai ... ? (Ilham mathay pay taywariyaan charhatay hwoay dada kay zanoon say sar utha kay seedha hoo kar baith jaati hai.. aur kehti hai... magar dada "iss mein bhala Farva ka koun sa bhala hai..." Col. Sarfaraz side table say chai ka cup utha kay akhri ghoont laytay hain.. aur kehtay hein) Col. Sarfaraz: Baita.. mein aab tum ko lecture dainay say tu raha.. haan magar aik baat tu tay hai na keh waldain olaad ko tab say jantay hein jab olaad ko khud apna kuch hoosh nahi hota.. aur phir aaj kal kay larkay larkiyaan ankhain band kiyeah hawa kay ghooray pay sawar asmaan ko zameen lanay kay khawboon daikhtay hein.. iss umar mein sab sach jo lagta hai.. magar sab waisa hota nahi jaisa hum samajhtay hein.. kabhi kabhi hum kissi shai ko apnay liyeah behtar tasavar kar laytay hein.. magar waqat sabit karta hai humara faisla kis kadar ghalat tha.. !! Col Sarfaraz: Acha yeah bataoo.. woh shakhas manzil pay asaani say pochancta hai.. jo rah e manzil pay pehli baar challay aur koi rahnumai karnay walla na hoo.. ya woh jis ko manzil ko jatay rastoon pay rahnumai karnay walla koi mill jai.. ? Aur youn bhi jaisay har rasta safar kay liyeah mozoon nahi hoota.. bilkul waisay hee.. har manzil bhi sharat e safar nahi hooti.. magar shaid tum mairee in batoon ko nahi samjhoo gi.. kuch battain aisee hoti hain.. jinhein humain sirf tajarbay say hee seekhna hoota hai.. kissi kitab mein parhnay say.. kissi say sun laynay say.. kissi kay bata dainay say.. hum ussay chahain bhi tu samajh nahi saktay.. !! (Ilham dada ki batoon ko bohat ghoor say sunti hai.. mathay pay pari shiknoon mein kuch kami zaroor hooti hai magar khatam nahi hooteen.. woh dada kay kandhay pay sar rakhtay howay kehti hai.. "magar dada Farva nahi karna chahti na woh tu science karna chahti hai, uss kay marks bhi tu science mein achay aye hein, magar khud faisla karnay ka koi ikhtiyaar he nahi hai, agar uncle aunty uss ko faisla karnay ka ikhtiyaar datay tu woh yaqeenan science ko select karti.. magar dada hum logoon ko koi faisla karna ka ikhtiyaar he nahi daita.") Col. Sarfaraz: Biatta faisla har koi kar sakta hai.. magar masla sahi Faisla karnay ka hai.. fasila karnay ka ikhtiyaar hona aur SAHI faisla karnay ke salahiyat honay mein bara farak hota hai.. faisla tu har koi kar layta hai.. haan sahi faisla karnay kay liyeah bohat see cheezoon ka hona zaroori hota hai.. aur aaj kal ke nojawan nasal ko tu ganay bajanay kay illawa kuch soojhta hi nahi hai.. un ki soch ki parwaz aaj say aab say agay tuk daikh he nahi sakti.. sahi faisla karna woh bhi mustaqbil kay baray mein tu bohat door ki baat hai na.. sahi faisloon ka daroomidar iss baat pay tu nahi hota kay aap ko kaya pasand hai kaya nahi.. kaya acha lagta hai kaya bura.. sahi faisla tu woh hota hai jo aap kay haq mein behtar hoo.. sirf aaj aur abhi kay liyeah nahi.. balkay aap kay mustaqbil kay liyeah bhi.. aur mujhay nahi lagta aaj kal ke nasal iss qabil hai kay woh kissi aur kay lyeah tu kuja apnay liyeah bhi koi sahi faisla kar sakkain.. !! (Ilham dada ke battoon ko kuch samajhti hai kuch nahi.. zehan kuch batoon say ittefaq karta hai tu dil kehta hai bahala yeah kaya baat hoi.. zindagi humari tu fasila koi aur kiyon karay... woh koi jawab dainay kay liyeah ilfaaz ko tarteeb dai rahi hooti hai kay ghari pay nazar parti hai aur uss ko yaad aata hai uss ko tu Library jaana hai.. Ilham dada ko kehti.. dada iss pay raat mein baat karoon gi.. mujhay abhi Library jana hai.. Ammi pochain tu bata dijiyeah ga.. aur yeah keh key woh kitaboon kay bag ko aik baar phir baghal mein dabati hai aur kamray say nikal jaati hai... Col. Sarfaraz.. zair e lab aaj ki nasal kay wohi barsoon puranay masail hein kehtay howay uthtay hein aur chai ka khali cup utha kay kitchen ke taraf chal partay hein). ILHAM: ILham library sey books ley k baher nikalti hai to us ka zehen abhi tak farwa k barey mein he soch raha hota hai k aisa kiya karey k farwa k parents farwa ko us ki marzi ka subject lainey dein issi udhairban mein wo kub sarak pey aae ussey pata he nahi chala wo chunki jub ,jub us ka ek car sey accident hotey hotey bacha breaks k charcharaney ki awaz door tak goonj gai us ney nazar utha k jo dekha to ek handsome sa larka ussey buhat khonkhuwaar nazroon sey dekh raha tha . Wo seham si gai aur sorry kehna chahaaa magar us ki zuban ne us ka sath na diya kuch un break ki awazon ki dehshat aur kuch us larke ki ,Magar akhir himat badhte hoi us ne ruki ruki awaz main " So-rr-y " kaha . Haziq: Aik lumhe ke liye to Khuda jaane, us ki saans hi atuk geyi thi. Go ke gaari ab ruk chuki thi mugur us ke qadem abhi bhi sukhti se break per jumme huwe they. A'asaab main shayed ab bhi break ki chirchirahut goonj rehi thi, jub us ke kaan kissi unjaani si awaaz se tukraaye. Woh kuch door hi khuri thi, aankhon main shurmindagi ke asaar numayaan they...Us nain kuch keha tha, mugur is afra-tehreeh ke alam main Haziq samajh na seka. Shayed Us nain bhi mehsoos kiya tha, is liye us nain doobara jhijukti huwi awaaz main sorry keha. Tub Haziq nain gaari side per lugaayi aur bahir nikel aaya. 'Aap theek to hain'? Us nain Murawwatan poocha, Aur Ilham nain ser ki khafeef si junbish se us ke sawaal ka jawaab diya. Ilham ke hawaas ab bhi ure huwe they, aur jaane kiyon use us Lerki ki haalut per hunsi si aayi, mugur us nain kuch keha nahin. 'Ainda please, ehtiyaat keejiye ga! okies' Jub use undaza huwa ke aadha sheher jamid-o-sakit unhain ghoor reha hai to Haziq yeh keh ker muskurata huwa gari main betha aur chulta buna. ILHAM: ilham k sorry kehney pey us shakhs ney gari side mein lagai or gate khool k baher aya, ilham jo ab tak sharminda si khari thi us o0nchey lambey sey larkey ko dekh k or sehem gai or sochney lagi " kiya zarorat thi aisey andhon ki tarhan road paar karney ki ilham beta aaj to tum gain kaam sey .. ab kiya karon ? ager is ney sab k samney dant diya to ! .. uff kitni baizati hogi sab k samney " abhi wo mazeed sharmindagi k ehsas sey zameen mein garna he chahti thi k us shakhs ney barey rukhey lehjey mein pocha "Aap theek to hain'? " or ilham jo mutawa'qa dant k ehsas sey mazeed hawas bakhta hooye ja rahi thi jawab mein bas han mein sir he hila saki . or shayad us larkey ko bhe us ki halat pey rehm agaya tha tubhi us k cherey pey madham si muskurahat ubhri or us ney kaha "'Ainda please, ehtiyaat keejiye ga! okies' " or itna keh k wo ruka nahi apni muskurahat chupata gari ki taraf barh gaya . ilham apni jagha pey khari ussey dekhti reh gai or phir us ka caring lehjey mein " 'Ainda please, ehtiyaat keejiye ga! " kehna pey besakhta us k lub muskurahat sey jagma uthey .. achanak kuch nazroon ki tapish mehsoos honey pey wo chunki to sab us ko ajeeb si nazroon sey ghoor rahey they , ilham ko khud pey bhat ghussa aya or wo khud ko koostey hooye gari ki taraf barh gai
--------------------------------------------------------------- Kashmala: Bed par aarhi tirchi laiti Kashmala ne Khawateen digest ke taza shumaray par say nazraiN hatatay huwe bari behan ki janib daikha jo ke butt bani kisi ghair maraii nuqtay par nazraiN jamaye baithi thi...agarchay donoN maiN 4/5 sal ka farq hai magar dosti intaha ki hai... Kashmala : Neha pata hai is martaba Umaira ke novel ki agli qist nahiN aai...had hoti hai yar, maiN usi ki wajha say to yeh digest parhti hooN...itnay zabardast moqay par end ho gaya tha last time... hero bas heroine ki propose karnay hi wala tha....haye ri meri qismat (sar par hath mar kar ronay ki nakam acting kartay huwe)... apne sath hona to door ki bat, aisay scene parhnay ke liye bhi itna intazar karna parta hai... Neha apni hi sochoN maiN gum thi...Kashmala ki itni lambi bat ke jawab main jab usne kuch nahiN kaha to kashmala ne Baha ko kaha (jo ke neha ke sath baithi thi) " is moti ko zara is duniya maiN wapis lana " aur burburanay lagi "ajeeb larki hai, baithay baithay chothay muhallay pohanch jati hai"... Baha ne Neha ko kandhay say pakar kar taqreeban jhanjhor hi dala..... Bahaa: Baha ne Neha ko kandhay say pakar kar taqreeban jhanjhor hi dala.... Baha:"aray neha baji hosh main aa jayein.kahan khayalon main khoi rehti hain" (kashmala ki taraf dekhte huay) Bahaa:"aur kashmala baji aap bhi in magazines ki duniya se nikal aayien.kuch nahin milay ga yeh fazol qisay kahaniya perhnay se" (doonon behnon ki taraf dekhte huay) Bahaa:"mujhe t lagta hai aap doono "fantasy world" meinn rehti hain Neha: (Neha chonktay hoye) ......... "Muj say kuch keh rahi ho tum dono" (neha ne apni dono behanoon ki shaqal dekhi tu usse laga ke jaise dono keh rahi hoon ke "nahi aap say nahi aap ke Farishtoon say kaha hai") "wo asal main baat yeh hai ke kal say meri sooch ki soyi Film ke us manzer par at'ki hoyi hai jab Heroine ka Baap us'say pyaar say zamane ki ounch neech samajta hai aur jis tarha wo react karti hai baaaaaaaaaas wo scene tu jaise maray zehan ke Parday par jam sa gaya ho........ " "tum loog janti tu ho ke jab say Baba Jani humain chor kar iss duniye say muuh mor gaye hain tab say Baap Beti ki koyi bhi baat hoyi hum sab ko kaisa kar deti hai ..........."(Neha ki awaz main anso'oun ki amazish thi lekin pher usnay forun apna mood sahi kiya) "acha Sono Bahaa tum abhi shayed keh rahi theen ke main aur Kashmala fantsy world main rehtay hain tu tum khud kyoon aaj kal har waqt FILMS hi dekhti rehti ho kyoon kia tum hamare naqash-e-qadam par chalna chah rahi ho" ............. (neha nay apni choti behan ko chairte hoye kaha) Bahaa: (Bahaa jo k "baap beeti" sun ker kuch udaas si ho gayi thi.......Neha ki baat sunker wapis apnay sharati mood main aa gayi) Bahaa:"aray baji!films dekhnay main kiya harj hai.aap donoon to apni university k qisay hi le ker baith jaati hain.........me bechari ab apni boriyat ka hul kaisay talaash karon.........films daikh ker time paas kerti hoon.......aap ki tarah khayalon main nahin khoi rehti" (Bahaa k lehjay main thori si talkhi aa gaye) Neha: (Neha ne baat ko suni an'suni karte hoye kaha) "Acha suno Bahaa tum wo gana sun rahi ho Aniee ka wo kiya bhala say gana hai ....... some thing Mahi kar k kuch hai na" "Aray sirf aik ganay say main ne kisi ko itna hit hotay nahi dekha aur wo bhi kisi larki ko" (Neha ke lehjay main Sata'ish thi) Bahaa: (Bahaa active ho ker baithte houay) Bahaa: haan na bohat zaberdast song hai.....aur us ki to poori elbum hi zaberdast hai..... aur pata hai bajo! Ainy ka live concert hai....this weekend....Alhamra hall main.meri saari friends jaa rahi hain......aur mujhe bhi jaana hai.........is liye thoray se paisay faraham kiye jaayien (Bahaa k lehjay main thori si shararti iltaja aa gaye) Neha: "Hmmmm acha theek hai le laina paise lekin maray paas sirf 750 rs. hain aur muje apne liye bhi thoray say chahiye hoon gay samjeen........" (Neha ne choti behan ko pyaari bhari nazaroun say dekhte hoye kaha) "Ab yeh isko kiya ho gaya hai yeh kyoon moraq'bay main chali gaye hai" (Neha ne Kashmala ke chup rehnay par kaha) Bahaa: Bahaa: o thank u baji.......... (kashmala ki taraf dekhte hua) Bahaa: kashmala baji phir se fantasy world main ghuss gai hain.mera khayal hai in ko in ke haal per chor dena chahiye aur lunch ki tayyari kerni chahiye (Bahaa bed se uthte huay kitchen ki taraf jaati hai) ---------------------------------------------------- Ebtihaj: " Ebtihaj ab tumhen apni company ko world main introduce karwana hai or jiss terhan yahan apnay mulk main tumhara naam hai, bil'kul waisay hi tumhen in'tl market main bhe apna naam banana hai or iss hi terhan tum apni ammi kay saray khawab or abbu ki tamam umeedon per pura utar saktay ho ....abhi usay 2 companies milti hi hain kay office ka darwaza khulta hai or uss ka manager jo pichlay 3 din say chuti per tha namodaar hota hai jisay dekhtay he Ebtihaj kay chehray per gusay kay asaar nomayan hotay hain .... aap humaray uss Consignment ki file to sath hi laye hon gay jo sirf or sirf aapi ki la parwahi ki waja say abhi tak delay ho raha hai ap ko shahyed andaza nahin hai kay main nay kis terhan mehnat kar kay apni company ko iss mukaam tak pohanchaya hai .............. or main yea hargizz bardasht nahin karon ga kay meray kisi bhe worker ki thori c bhe nadani say iss nam per koi harf bhe aye... or yea bat to shahyed aap ko batanay ki bhe zarorat nahin hai kay business ka sara daromadaar commitment per hota hai or jab hum aik company kay sath apni commitment puri nahin kartay to usskay sath sath hum boaht c dosri companies kay dil say bhe utar jatay hain "itna bolnay kay bad Ebtihaj table per rakhay howay pani kay glass main say aik ghoont leta hai or pass kharay howay manager to kehta hai " .................... .... mughay aaj hi iss consignment ki delivery chahyeah ab yea kis terhan ho ga woh ap ko sochna hai ..."itna keh kar woh office say bahar aata hai or car main baith kar apni dosry factory ki teraf chal deta hai. ---------------------------------------------------------- Khurram: (Khuram aj subah se aik client ka case study kar raha tha, kal court main date thi is liay wo chah raha tha k kal ki date main hi case ko final kar de, koi khas bara case nahen tha judge chahe tu 1 hi date main final hojay, achanak darwaze pay dastak se garden utha kar dekhta hay tu Bilal ko pareshan aur naumed moujod pata hay, apne piyare bhai ko aise dekh kar usay bhi pareshani tu buhat hoti hay magar wo show nahen karta) Hii buddy kesse ho aur ajj janab ka chera kiun murjhay hoay ghulab ki tarah hoo raha hay kahen phir koi Muhtarma shuhtarma ka tu chakar nahen hay. (Magar Bilal ka reaction wohi naumed saa who chair pay bethte hoay apni CV & documents wali file ko table pay rakhta hay khuram samajh jata hay k ajj ka interview bhi koi khas nahen raha, wo bell baja kar office boy ko bulata hay) Rustam! Bilal sahib k liay thanda pani lao aur haan Gul khan se keh kar meri car bhi bahar nikalwa doo. (Phir file close karke Bilal ki taraf mutwaja hota hay) Kia baat hay Bilal kiun aise pareshan ho rahe hoo, Mana k tumhain job nahen mil rahi magar us ka hargiz ye matlab nahen hay k tum abhi se youn mayous hojao, abhi tu buhat manzil hay, meri mano tu tum apni study continue karo F.C.P.S Part I main admission lay lo, simple MBBS doctors ka koi acha future nahen hay aur haan mere aik client hain un ka private hospital hay ajj main ne un se baat ki thi, tum evening main wahan apni practice start kar sakte ho, is taraha tumhari practice bhi start hojay gi aur tumhari job ka prb bhi solve hojay ga, 1-2 din main tum wahan chale jana. Ab shabas zara hansta muskrata hua cheRa kaRao tu aik aur news sunaon tumhain(Bilal k chehre par zara si muskrahat umad ati hay aur wo pani ka glass honton se lagaleta hay) Yeee! abb hoi naaa baat, acha u ki frnd ka phone aya tha tumhara mobile off jar aha tha tu mujhe call karli, main ne kaha hay k ring back karwa doon ga, chalo utho abhi ghar chalain wo African bhoka(Faisal ka nick) khane par wait kar raha hay(Aur phir apne zarori file aur documents uthata hay kiun k raat ko case final karke ghar se hi sedha court jane ka irada hota hay, Bilal ko hath se pakar kar bahar ajata hay Bilal andarooni taur par abhi bhi usi kaifiyat ka shikar tha magar wo chehre se khuram par zahir nahen karna chahata) BiLaL: (Bilal bojhal qadam aur mayoos chehray kay saath apnay bhai khurram kay office kee raah leta hai aaj bhi usay koi job nahi milti aur hamesha kee tarhaan naakaami hee haath aati hai jis kee wajah say woh bauhat naaumeed hota hai,Bilal darwaazay per dastak deta hai aur khurram darwaza kholta hai to bilal ko dekh kar us kay chehray per ek muskurahat ubharti hai magar jab woh bilal kaa mayoos chehra dekhta hai to samajh jaata hai kay aaj phir naakaami hee haath lagi hai,Bilal ander daakhil hota hai aur baith jaata hai,Kuch dair khamoshi kaa tassalut rehta hai jisay bilal torta hai.) yaar main to thak gaya hoon job dhoondtay dhoondtay.Kya faaida hai aisi degrees kaa kay ek job tak nahi mil rahi.Roz job kee talash mein maara maara phir kar tang aa chuka hoon main.Aur meri is mehnat kay natijay mein mujhay milta bhi kya hai siwaye naumeedi aur mayoosi kay. (yeh keh kar bilal khamosh ho jaata hai aur khurram office boy say bilal kay liye paani kaa glass mangwaata hai aur paani kaa glass us kay saamnay rakhtay huay usay hosla deta hai aur umeed zaahir karta hai kay ek din woh achi job dhoondnay mein zaroor kamyaab ho jaaye gaa.aur phir usay batata hai kay us kay dost kaa ek pvt hospital hai jissay woh join kar sakta hai,yeh sun kar bilal kay chehray per halki see muskurahat namudaar hoti hai aur woh pani kaa glass lab per lagata hai,do ghoont paani pee kar woh glass side per rakh deta hai aur apnay labon ko harkat deta hai) thanx yaar khurram,Chalo jab tak koi achi job nahi milti main kamazkam apni practice to kar hee loon gaa. (Phir Bilal aur khurram ghar kee raah letay hain jahan un kaa dost Faisal khaanay per un kaa intizaar kar rha hota hai.Ghar kay darwazay per pauhanch kar woh door bell detay hain aur faisal darwaza khol deta hai,Jab faisal bilal kaa mayoos chehra dekhta hai to us say mayoosi kaa sabab poochtaa hai to bilal batata hai) Kuch nahi yaar,meri mayoosi kaa sabab bhala kya ho sakta hai ? tujhay to pata hee hai naa. Aaj phir Job nahi milli aur khaali haath ghar wapis lotna para bas isi baat say mood thora kharab hai aur kuch nahi. (Phir Faisal usay hosla deta hai aur phir teeno khaana khaanay baith jaatay hain aur hansi mazak kartay hain jis say bilal kaa mood kuch set ho jaata hai magar job naa milnay kee mayoosi abhi bhi us kaa peecha nahi chorti) Faisal: ( Faisal khanay ki table pay baitha Bilal aur khurram kay anay ka sooch hi raha tha kay itnay main Door Bell Bajti hai . Darwaza Kholta hia tu samnay Bilal aur Khurram kharay hotay hain. Bilal ka Mayoosi main duba chehra daikh kay Faisal Poochta hai) " Tujhay kiya howa bhai tu kiya chehray pay 12 bajaye ghoom raha hai, tunay nai shakal aisi bana rakhi hai jaisay nokri nahin tere pasand ki larki hai jo tujhay nahin mil rahi hai. mere dost tention nahin lai Aik Baar Mujhay MCS kar lainay dai fir daikh tere liye Nokriyon ki lines lagi hongi . " (faisal Bilal ka jawab sun kay tanziya kehta hai) " Abay Job Nahin mil rahi hai tu Pakoray kiyon nahin baichna shoro kar raha hai atleast cheray pay 12 kay baajayee 6 hi bajain gai. waisay main tu kehta hon kay tu JOb ki tention chor koi Business shoro kar takay aik hi jhatkay "rpofit/loss" honay ki srat main ya tu Asman say batain karay ga ya fir Asmaan say Uper walay jahan main Shift ho jaye ga." (teeno table pay baith jatay hain aur khanay kay duran aik dosray ko pakatay howay) "Faisal Khurram tu bhai hai kay qasayee Bilal tera bhai hai aur tere hotay howay woh Wela ghoom raha hai thora sa tu sharam ka Parda utha. Teri jaga main hta na tu bilal tu apni seat pay bitha daita. waisay tum dono bhayoon ko bhai nai Dushman hona chahiye tha fir kam az kam tum dono ko aik dosray ki shaklain tu achi lagtin." ---------------------------------------------------------- Max Rodrigues: Raat buhat beet chuki thi.. dostouN kay roknay k bawajood Captain max nay uss waqt ghar janay ka faisla kiya.. aur apni gari meiN beith ker ghar ki taraf chal nikla.. pooori sadak per door door tak kisi ka naam-o-nishaan nahiN tha.. uss nay uss ghambeeer khamoshi se tung aker seeti bajana shuru kerdi.. aur mary ann k baray meiN sochnay laga jo abhi usay party meiN pehli dafa mili thi... "how beautiful.... very descent.. sub se alag.. laikin kambakht ko janay kis baat ka ghuroor hay.. baat hi nahiN kerti kisi se... jab k mujh se kisi larki ko mutassir honay meiN aik lamha bhi nahiN lagta laikin janay kis mitti ki bani huwi hay wo ....khair.. " wo inhi sochouN meiN gum tha k usski tawajjo uss safaid cheez ki janib gayee jo side ki jharioN meiN pari thi.. wo ghor se dekh nahiN paya k gari agay nikal gayee... janay kioN usay laga k wo aik larki hay .."tum shartiya pagal hogaye Max...marry ann k dhayan meiN tumhaiN her jaga larkiyaaN hi larkiyaaN dikh rahi heiN... " .. uss nay gari reverse ki ... aur ghor se dekha to usay laga jaisay waqayee wo koi larki hay.. .uss nay gari ka darwaza khola aur bahar nikal aya .. jaisay jaisay wo agay barh raha tha uss gathri kay khad-o-khal numayaaN horahay thay.. aur jab wo qareeb pohoncha tou bay ikhtiyar uss ki zuban se nikla "khoobsoorat!" , uss nay apni poori zindagi meiN kabhi itni haseen larki nahiN dekhi thi.. aur wo tou tha hi husn ka shaidayee... wo uss k chehray ko mabhoot ho ker dekh raha tha "Granny kehti theeN k raat ko kabhi kabhi buri rooheiN khoobsoorat larkioN ka roop dhar ker ghoomti heiN.. " ye khayal atay hi uss k hontouN per muskurahat dour gaye.. aakhir kaar wo aik Armyman tha.. " NahiN.! itni khoobsoorat larki bad rooh tou hergiz nahiN hosakti... laikin ye yahaN kaisay agayee? " uss nay jhuk ker uss ki nabz check ki .. to wo halki halki chal rahi thi "ya'ani ye bayhosh hay.. .. chalo issko filhaal ghar tou lay ker jaooN.. phir tehqeeqat karaiNgay k ye yahaN kaisay ayee.. " uss nay usay uthaya .aur la ker gari ki pichli seat per lita diya.. ..aur khud gaari meiN baitha aur gari chala di.. rastay bhar wo backview mirror se usay dekhta raha jaisay usay khof ho k kahiN wo bhag na jaye.. aur wo dil meiN aik anjani si khushi mehsoos ker raha tha... Ghar pohonch ker uss nay uss larki ko gari se nikala aur ghar meiN lay gaya jahN us nay usay bed per buhat ahistagi se lita diya... aur saath hi kursi khench ker beith gaya.. aur phir se usay aik tuk taknay laga.. Max nay Army meiN medical training bhi li thi issliye ussko andaza tha k usski bayhoshi khatarnaak nahiN hay.. usski nabz ma'amool per arahi thi .. ya'ani thori hi der meiN usay hosh anay wala tha.. issliye uss nay uss ko khud hosh meiN lanay ki koshish bhi nahiN ki.. kay wo usski bayhoshi meiN usay ji bhar ker dekh leina chahta tha.. "wah.... kia ankhaiN haiN.. how beautiful.. beautiful face... laikin iss nichlay hont k kinaray se khoon beh raha hay... " ye dekh ker uss nay apnay roomal se uss ka khoon saaf kiya.. aur phir usay dekhnay laga. "pata nahiN hosh meiN aker ye kaisay react karay.. mujhay kia samjhay... " inhi khayalouN meiN magan tha k wo alrki kasmasayee.. aur ussk mooN se nikla "Pani.. Pani.. " usski ankhaiN hunooz bund theeN... aur bayhoshi ab tak taari.. Max bijli ki si taizi se utha aur pani ka glass laya... ussko sahara de ker bithay aur uss k hontouN se laga diya. .. uss nay sadioN k piyasouN ki tarhaaN sara pani pi liya.. max nay usay phir lita diya.. wo samajh gaya k ab isko hosh anay wala hay .. so chair thori aur peechay karli.. aur intizaar kernay laga.. ... thori der meiN uss larki nay zair-i-lab kuch bolna shuru kerdiya.. MAx ko tou yahi samajh aya jaisay wo bol rahi ho "mujhay janay do" ... phir uss nay aik dum ankhaiN kholeeN aur aik jhatkay se uth ker beith gayee... Max ko usski jheeel jaisi ankhouN meiN sukht sarasmeegi aur wehshat nazar ayee... uss larki nay zair-i-lub kuch dohraya... jo max na samajh saka... aur phir forun jaisay usay kamray meiN aik ajnabi mard ki mojoodgi ka ahsas huwa aur uss nay apnay libas ko theak kerna shuru kerdiya aur jaisay khud meiN chupna shuru kerdiya.. Max ko usski ye ada buhat bhayee... ...uss nay kaha " gharbayeiN nahiN .. ab aap safe heiN... " Sur'raya: Ankh khulte he Suriya ke kaan main aik Na'manoos awaz ayeke "Ghabrayeen nahi ab aap safe hain".... Suriya ne kamrey pe aik nazar dale ..ise kuch samaj na aya ke wo kha hai ? aik ajnabi ko apne samne pa ke wo kuch bhokla si gaye or Forun apna Sar dhanpa or kapre dursut karne lage... aik dum uthne lage tu ise chakar agaya....jis ke bais wo phir se bed per ja giri ..Ajnabi is ki taraf barha ke ise sahara de leken isne isharey se ise rok deya....wo iske pass he kahra hogaya...or side table se aik glass pani ka bhur ker ise deya..Suriya ne do ghont liye or glass wapis de deya...! iske zahan main kaye saawal the ke "wo yaha kasie aye "? "or yeh ajnabi kaun hia"?iske chehrey se iski bhoklahat saf zahir thi...Leken wo aise zahir kar rahe thi jaise ise koi khouf nahi...kuke wo aik Ajanbi or wo bhi Gorey(angrez) ke samne thi...jin ke bare main wo bhot baatain sunti rahti thi...himat karke or chehrey se yeh zahir karke mujhe koi khouf nahi is ne is Ajnabi se pocha ke "main yaha kaise aye" ?or "kis haal main aye" ? Max: Uss larki nay apna khouf chupanay ki bharpoor koshish kertay huway pur aitmaad tareeqay se bister se uthnay ki koshish ki laikin kamzori ki waja se phir gir gayee..Max usay uthanay k liye agay barha laikin uss nay haath k isharay se rok diya... phir Max nay forun pani ka glass bhar ker usay diya aur us nay 2 ghoont bhar ker shukriye k saath wapus kerdiya.. Max usay baghour dekh raha tha.. uss k chehray se ussk ander ki kashmakash saaf zahir thi... wo janta thak wo Max se bay intiha khoufzada hay.. laikin saath hi wo uss khouf ko zahir nahiN kerna chah rahi aur uss koshish meiN kabhi apnay chehray per haath phair rahi hay aur kan ankhioN se Max ko dekh bhi rahi hay... phir uss larki nay kaha "Mein.. " aur uss ki awaz uss k galay mein hi ghutt gaye... phir uss nay khankhara aur thook nigaltay huway boli.. "MeiN.. yahaN kaisay ayee?" aur "kis haal meiN ayee" Max nay usski halat se mehzooz hotay huway jawab diya "meiN nay Santa Clas se aik khoobsoorat guriya mangi thi.. wo 7 months late hogaya uss k liye sorry keh raha tha but uss nay apna wa'ada poora kiya aur aap ko chupkay se meri gari meiN daal gaya.."...Max nay ye baat mahoul ko halka phulka aur uss kay khouf ko door kernay k liye kahi thi.. laikin uss ka ulta nateeja baramad huwa.. aur uss larki ki aankh se ansoo nikal apray..uss nay apna mooN hathouN meiN chupa ker bharpoor rona shuru kerdiya.. Max Ghabra gaya... "O.. please.. no... meiN mazaq ker raha hooN... u know Santa to kuch bhi nahiN hay... my bad. plz.. aap royeiN nahiN... aap mujhay jharioN meiN bayhoshi ki halat meiN mili theeN... aur meiN aap ko gari meiN dal ker idher lay aya... " Itna kuch seriously bolnay k ba'ad Max ki rug-i-shararat phir pharki aur uss nay kaha " kioN kay jharioN k paas board per likha tha kay Ye Jaga khoobsoorat phoolouN kay liye nahiN hay" ... usski iss taqreer ka bhi uss larki per koi asar nahiN huwa.. aur wo roti rahi... aur max Tissue usski taraf barhaye khara raha per uss nay sir utha ker dekha bhi nahiN.. . Sur'raya: Mujhe Nahi Samaj Araha Ke App Kiya bol rahe hain...Mujhe Sirf Ghar jana hai abhi ke abhi...Suriya chehrey per hath rakh ker zar-o-qatar rone lage...Anjabi aik dum ghabra sa gaya...leken Suriya roye jarahe thi...ise wo sub yaad araha ke wo ghar se kaise nikli thi...iski or Anwar ki lariye hue thi...Ke Ghar main kuch bhi khane ko nahi tha..or Anwar khana mang raha tha...Suriya ne jab ise kha ke khana kha se lao tum kama ke lao gai tu main pakao...is baat per Anwar ne ise mara tha or jabhe wo ghar se nikal aye thi or najaney kha jarahe thi ke kuch chakar sa aya tha or wo shayad behosh hogaye thi...jabhe is Ajnabi ko mili thi... Max: "OK .. OK...chaliye meiN aap ko ghar chor ata hooN abhi.. " Max uss k iss tarhaaN ronay se aik dum ghabra gaya... phir wo car tak aye .. uss nay driving seat k barabar wali seat ka darwaza uss k liye khola.. laikin wo usay nazar andaz ker kay pichli seat per beith gayee.... Max nay bari subki mehsoos ki ...wo khamoshi se Driving seat per ja ker beitha.. aur seat belt bandhtay huway backview mirror se usay dekhtay dheemi si muskurahat k saath bola "Aap jo peechay baith gayee heiN.. janti heiN iss tarhaaN tou meiN aap ka shopher lagoonga " .. phir zair-i-lub bola "halankay meiN chahta hooN k aap ka shoher lagooN"... Khair.. uss nay gari chalana shuru ki... aur jab moqa milta wo back mirror meiN se usay dekhta...wo apnay khayalouN meiN gum beithi ...mustaqil apnay hathouN se apnay dopattay k pallo ko maror rahi thi.. ya kabhi ungliaaN chatkha rahi thi... aur apna nichla lub dantouN meiN baar baar daba rahi thi... Max nay socha "ye waqayee buhat pareshan hay.. lagta hay koi buhat bari museebat ki taraf ja rahi hay" Max ko usski saadgi, mashriqiyat aur bholpan buhat ziada bhaya tha.. usski khofzada ankhouN meiN jaisay poora mashriq apnay tamam ter husn-o-haya samait simat aya hay .. Max ko aisay laga k agar husn aur haya mujassam ho jayeiN tou bilkul iss larki jaisay houN.. Uss larki ki rehnumayee meiN bilaakhir Tooting Street pohonch gaye... wahaN uss nay ghar k agay gari park ki... aur uter ker khara hogaya... wo larki agay barhi.. aur ghar ka door knock kernay se pehlay mur ker usski taraf aisi n azrouN se dekha jaisay keh rahi ho k ab aap jayeiN... laikin wo dheet bana waheeN khara raha.... aakhir larki nay door knock kiya aur Ander se aik Aadmi bahar nikla.. Sur'raya: Bell bajte he Suriya Ka shohar GHar se bahir aya or Suriya ko aik Ajnabi ke sath dekh ker Kuch kamene se Muskurahat iske chehrey per aye...jis se Suriya jan gaye ke wo kiay soch raha hai...wo tu phele he chahta tha ke Suriya ke admiou se talukat hon or yehe zeriya bun jaye iski amdeni ka...Leken Suriya Anwar ko nazar andaz karti ghar main dhakal hogaye or.......... Anwer: gorey(angrez) ko dekh ker Anwar ne is se Pocha ke kaun ho tum ? or Suriya se kahaan miley ? ------------------------------------------------------------- Emaad: ‘’Tadha mukhray da til … sada lay geya si dillllll’’ ‘oh!!! … array baap ray mein tu geya’ Emaad bed pay leeta ye ganay sun raha hota hay ... kay achanak us ko kuch yaad ata hay aur woo chalang laga kay bed say uthta hay, aur cassette player band kar kay ... lounge mein jata hay …. ‘ deeno baba, deeno babaaaaaaaa, oh hoo ye deno baba kahan chalay gaiee, zaroor star plus dheekh rahy hoon gay, tooba hay aj kaal kay buzurg bhee’… hehehe (khood he say burbura kay hasta hay) .. ’yaad he nahee raha kay us churail kashmala ki birthday hay aj … woo tu cake ki jagha meray tukray he kar dei gi … wesay keya kahreeda jaiee us kay leyiee, .. aray us saril larki kay naak pay kuch charhay tu phir hay naa par eek baat hay Emmad sahib hay woo larki vakhri type ki ... aray mera khayal hay woo teddy bear lay loon woo heart wala hehehe ... ya chooriyaan khoob jachieen gein us haseena pay khair Emaad Sahib zara tayyar tu hoon … hero banieen ... ap tu khood he eek gift hein hehehe’ … apnay ap say baatien kartay howa Emaad tayyar honay lagta hay. ---------------------------------------------------------------------- Noor-Jihan: Noor jaha.n ghar main dakhil hoti hai... undaaz sey thakawat jhalak rahi hai... apney kamrey main dakhil hotey hi hand beg ko side table pe rakhti hai aur bister pe dher ho jaati hai.... thakawat k waja sey sar dard ka shikar hai jis ki shiddad ko kum karne k leye dono hathoo.n ki ungliyoo.n sey kanpatiyoo.n ko dabatey howe apni mulazma Farzana ko awaaz deti hai "Farzana Bajii.... Farzana Bajiiiiiiiiiiiiiiiii ... plz aik cup chay tu bana dain" Farzana bawarchi khane sey hi acha jee lai keh deti hai..... itne main besakhta Noor ki nazar table pe parey asmani lifafe pe parti hai... wo haath barha k lifafe ko ulat palat k dekhti hai... chehrey main dabeez muskaan phjail jaati hai...k us ki maa ka khat hota hai... per jaise jaise wo khat ko parhna shuru karti hai.... chehrey sey muskurahat ki jaga be-zargi k asaar aa jatey hain.... itne main Farzana chay ley aati hai..... Noor k tasur dekh k samajh nahi paati is leye us sey pochti hai k "kya howa Noor" " maa ka khat aaya hai... main aajiz aa chuki hon is baat sey" wo jhunjhla k kehti hai "kis sey?" Farzana k lehje main tazabzub hota hai "khud dekh lain aap" ye kehtey howe ghusse sey takyya utha k dewar pe marti hai wo maa ka khat Farzana ki taraf barha deti hai... Farzana khat parhna shuru karti hai... maa ki awaz over lap karti hai Piyari beti Noor! kaisi ho? mera tu zindagi sey jee bhar gaya hai... per sans atki hoi hai... tumhare farz sey nimtoo.n tu apney parwardigar sey ja miloo.m k ab tu milne ko dill tarpata rehta hai... beta baat maan jao na... sar main chandi aa jay tu chand jaisi jawani main gahan sa lag jata hai....tumhari phupho kab sey israr kab rahi hain .. kaho tu baat pakki kar doon... khat ka jawab aur meri baat ka jawab soch samajh k juldi dena... Khuda tumhain khush rakhey tumhaari maa jee "duniya main koi aur kaam nazar hi nahi ata... shadee shadee shadee... naak main dam kar diya hai merey.... kyu nahi jene deteen mujhe.... " wo ghusse main agey bhi mazeed bolti per Farzana nay us k shane pe haath dhara aur kaha................ .. Farzana: nahi NOOR ashey nahi kartey shadi tu aike aham fareza hai jis ko pora karna hota hai yeh chey lo aur meri baat suno NOOR itne guessy mein nahi atey "Maa" k jazbaat ko samjo main tum ko itna hi kahoon gi k jo bhi kadam uthena sooch samaj kar uthena zamana bohut Kharab hai aur halat bohut Nazuk hain NOOR, main ab zara kuch kaam kar loon tum aram se chey pe lo.................. ...... ---------------------------------------------------------------------- Asif: Asif CUSHION sar ke neechay diyee, tang par tang charhaiye Carpet par laita aik English ganay ki dhun sun raha tha aur uski nazar 'MAG' ki rang barangi tasaveer par jaisi Chipki hoyi theen uski seenay par "Diva" aur haath main "Riwaj" ka Taza tareen issue tha.......... "Aray yaaR yeh Kambakhat itni Khoobsurat larkiyaan kahaan say doondh kar latay hain hum tu market jayeen tu kuch nazer hiiiiiiiii nahi ata" abhi wo khud ko aur MAG waloon ko qoos hi raha tha ke achanak kuch yaad anay par wo seedha ho kar baith gaya MAG uske seenay say gir gaya aur haath main pakra hoa "Riwaj" usne bohut Ehtiyat say apne Tak'kiye ke neechay rakh diya aur bister say utth kar wash room main ghuss gaya ............ Shower laine ke baad usne Aainay ke samne gun'gonate hoye bal banaye aur aik zabardest sa Suit nikal kar Zaib Tan kiya aur perfume ki almost Adhi chichi khud par un'dhaili aur pher aainay ko 5/6 bar dekha khud ko har angle say jancha tab kaheen ja kar usse sakoon ka saans aya .......Dar'Asal aaj use apni Dost Nosheen say milne Ziafat jana hai ........ Zaifat ke Parking Area main CAR park karne ke baad wo main hal ki taraf bharha lekin kuch soochte hoye waheen ruk kar kuch dair Ird Gird ke mahool ka Jayeza laine laga ........... lekin pher wohi hoa ke usse koyi aik bhi haseen chehra nazar na aya aur wo apni pehli sooch ke mazeed pokhta hone par khud ko daad deta hoa Hall main dakhil ho gaya ........ Hall par aik Sarsari si nazer dali .......... usse aik Table par aik akeli larki nazer aye jo kafi had tak Khoobsurat kehlanay ki haqdar thi ........... Asif ne uske hi samne wali TABLE apni DATE ke liye montakhib ki ............ "Chalo jitni dair intazar karna hai isi larki ka deedar karta rahoon ga time hi acha kat jaye ga" ............yehi soochte hoye wo apne aas paas ki tables ko dekhnay laga aur pher waiter say keh kar apne liya PEENA'COLADA mangvaya ............. Drink ke halke halke sip laite hoye uski nazar bar bar apni Ghar'ri ki taraf utth rahi thi aur uske ghussay ka graff buland tar ho raha tha kyoon ke usse tu logoon ko intazar karane ki adut thi jabke yahaaan hisab hi kuch aur tha .... aur ager wo Larki pyaari na hoti aur us se itne din baad milna na hota tu wo kab ka ja chuka hota ......... Akhir mazeed 10 min ke intazar ka baad us say na raha gaya ........."Main duniya ka ghamar tareen insaan hoon sirf aik larki ke liye pechlay 40 mins say wait kar raha hoon aur pher ager yeh samne wali larki Nosheen say behtar nahi tu kuch kam bhi nahi hai .......... ok beta ASIF chalo iske paas hi chalte hain aur zara aaj pher apni Wajahet ka jado chalao" ............Asif ke hontoon par aik maghroor si muskarahat itni nomayaaa thi ke koyi aik lamhe main hi pehchan sakta tha ke larka kafi Proud hai ............ "Miss-------- aap bhi kafi dair say akeli hi table par hain aur Unfortunately meri bhi jiss say official meeting thi wo party abhi tak nahi aye tu kia hi acha na ho ga ke hum apna waqt aik saath baith kar guzar lain................ ....... ???" oh sure why not .................... (Larki ne muskarate hoye kaha) .................... ................
------------------------------------------------------------------- Max: Max jab se uss larki ko ghar chor ker aya tha.. usay aisa laga raha tha jaisay usski zindagi meiN koi buhat hi bara khala paida hogaya hay... aur wo khud ko samajh nahiN pa raha tha "sirf chand ghantouN ki mehman aik ajnabi larki, bilkul seedhi sadi.. na makeup na glamorous. na mujhay uss ka naam hi ma'aloom hay.. phir bhi wo kioN meray dimagh per iss tarah cha gayee hay?" laikin uss k paas iss sawal ka koi jawab nahin tha.. agar zehen mein kuch aya bhi tou ye.. kay uss larki se dobara milna hay... "waisay bhi ikhlaq ka taqaza hay k beemar ki mizaj pursi ki jaye... okay. done.. meiN aaj shaam uss k ghar jaooNga" ye soch ker wo kuch mutmayen huwa... aur sham ko HQ se seedha uss k ghar ki taraf chal diya.. rastay meiN ruk ker uss nay khoobsoorat white flowers khareeday ... aur dil hi dil meiN uss ko tasavur meiN bithaye uss k ghar ki taraf chal diya... uss k ghar pohonchnay per uss nay darwaza khat khataya tou Anwer nay darwaza khola.. Max ko dekhtay hi uss k labouN per aik ajeeb si muskurahat phel gayee jisay Max koi ma'anay na day saka.. khair Anwer nay Max ko ander anay ko kaha .. Anwer MAx ko lay ker ander aya.. Max ghar ko baghor dekh raha tha... her cheez se israt aur saleeqa mandi tapak rahi thi.. tootay phootay furniture ko baray tareeqay se set ker k rakhnay ki koshish ki gayee thi.. laikin ghar ki majmoyee soorat-i-haal pukar pukar ker keh rahi thi makeen kuch achay halat meiN nahiN reh rahay.. Anwer nay Max ko kursi offer ki aur khud samnay aik stool per baith gaya... Max ki nigaheiN idher udher uss larki ko dhoondh rahi theeN... laikin Anwerse baat kerna bhi zaroori tha. so uss nay pooocha "Aur Anwer sahab.. kia hal chal haiN aap kay?" ANWAR: Anwar ki tu jaise EID ho gaye Angreez ko apne Ghar ke bahar dekh kar .......... uske tu Weham-o-Guman main bhi nahi tha ke yoon achanek yeh Angreez un par meharban ho jaye ga aur unke ghar a tapke ga .......... jab ke pechli bar ki molaqat kuch aisi yad'gar bhi nahi thi ........... aur pher jis tarha us Angreez ki ankhoon main bechaaini thi us ne bhi anwar ko yaqeen dila diya ke baas ab usse uske sabar ka phaall milne wala hai ............. "Jee bus guzar rahe hai ....app kehye thunda le gai ya garam ?" Lekin us Angreez ki tawaja jane kidher thi us nay ANWAR ki baat suni hi nahi ........ Anwar Bha gaya ke Angreez Sur'raya ka intazar kar raha hai .............. isliye usnay forun Paint'ra badla aur bohut ajeeb si muskan ke saath kaha .......... "Sur'raya Naha rahi hai Shayed aap intazar kijiye abhi ati hi ho gi ..........." Max: "Oh Acha .. chalaiN koi baat nahiN meiN intizaar kerlaita hooN" phir Max nay idher udher nazar dourayee aur uss ka bharpoor dil chaha k iss family ki koi madad ki jaye.. janay kioN uss k ander ye ahsas shiddat se jag raha tha k jis ghar meiN wo larki reh rahi hay.. usski halat itni buri nahiN honi chahiye.. so uss nay socha k Anwer ko kuch paisay dey de... uss nay Anwer ko bola "Agar aap bura na manaiN tou aik baat kahooN?" Anwer nay kaha "Aray sahab kioN sharminda kertay heiN .. hukm kijiye aap" .. Max nay kaha "Lagta hay aap ki job kuch achi nahiN hay... no... i mean.. aap ko koi maali pareshani hay. kia meiN aap ki koi madad ker sakta hooN?" Anwer nay (dil hi dil meiN khush hotay huway) kaha "Ji meiN kia keh sakta hooN? aap baray loug heiN aap ki marzi hay" .. Max ko kia chahiye tha.. uss nay forun jaib meiN haath dal ker purse nikala aur kuch paisay nikal ker Anwer ko dey diye... itni inayat ka tou anwer nay socha tak nahiN tha... usski bacheiN khul gayeeN wo Max ka shukriya ada ker hi raha tha k uss nay Surayya ko atay huway dekha tou paisay chupa liye.. .Surayya wapus palatnay lagi tou usay bula liya
"Surayya dekho Sahab tumhara haal poochnay aye heiN.. idher aker beitho" Surayya majbooran aker beith gayee... Max ko usska ye guraiz aur bhi bha raha tha.. uss nay koi bhi waqt zaya kiye baghair poocha "kaisi heiN aap" Jawab na darad... phir Max nay bola "kioN na hum mil ker kahiN lunch karaiN... kia aap meray saath chalaiNgi?..... " phir jaisay usay Anwer ki mojoodgi ka ahsas huwa to uuss nay usski taraf dekhtay huway kaha "... aur aap bhi..."
Laikin Anwer k chehray per phir waisi hi na ma'loom muskurahat phel gayee jo wo pehlay bhi nahiN samajh paya tha.. "Aray nahiN sahab. meiN kia karoonga ja ker waisay hi meri tabiyat theak nahiN hay... aap Surayya ko lay jayeiN... acha Surayya tum tayyar ho jao jaldi se.. aur Captain sahab meiN abhi ata hooN.. " ye keh ker wo uth ker chal diya...
uss k jjatay hi ... Uss larki nay hathoN meiN chehra chupa ker zor zor se rona shuru kerdiya... Max uss k qareeb gaya tou wo aur peechay hogayee.... aur mazeed rona shuru kerdiya Max bola "kia hogaya madam? everything OK? mera yahaN ana acha nahiN laga? plz kuch tou batayeiN>.. " laikin Surayya roye ja rahi thi.. phir Max ko aik dum ghussa agaya... "Dekhiye Madam.. meiN yahaN aap ka haal poochnay aya tha... aap ko tung kernay nahiN... agar aap ko mera yahaN ana pasand nahiN tou plz aap saaf saaf keh deiN.. ye kia tareeqa hay k aap iss tarah ro rahi heiN... " laikin surayya k ronay meiN kami nahiN ayee.. Max ka ghussa intiha ko pohonch gaya.. "OK.. meiN chala jata hooN.. plz aap ye rona dhona bund karainN... " ye keh ker uss nay gul dastay ko samnay stool per taqreeban phenka.. aur taizi se uss k ghar se bahar nikal gaya... Sur'raya: Suriya Ne Jab Is Angrez Ko Anwar ke pass bhete dekha tu ...kamrey main ate ate wapis palatne lage....leken Anwar ke isharey per ise jana para...Gora Angrez ise Dinner Per chalne ko kehta hia...jis per wo sochti hia ke Anwar tu chahta he yehe hai or yeh Angrez bhi aisa he hai..ise yaqen hota jata hai ke is ne aj tak jo in Angrezo ke bare mai suna tha wo such he tha...ke yeh forun he kisi bhi Aurat ko apne qaboo mian karna chahte hian..ise bhot khouf ata hai...ke Shayad Anwar ke andar ka mard jag jaye ke koi iski biwi ko dinner per le jane ko kehraha hai..leken yeh suriya ki khush fehmi thi...Anwar ne tu forun he ijazat de daai..Angrez ke sath dinner per jane ki...or sath he kamrey se bahir chala gaya..Suriya Ne Beikhtiyar rona shuro kardeya ke yeh Kaisa Shohar hai iska...jo iski hifazat karne ke bajaye..ghair hathon main isko sonp per chala he gaya....wo anwar ke bare main sochti jarahe or roti jarahe...Angrez iske qareb aya,,,leken wo 2 qadam peche hogaye or tez rone lagi...
Suriya ne Angrez se Pocha ke akhir app chahte kiya hian mujh se ? ku mere peche par gaye hain ? main aik shadi shuda aurat hon...plz is din jo hua iske liye main app ka bhot bhot sukriya ada karti hon...app ka ehsan hia mujh per...leken is se zaida main or kuch nahi de sakti ap ko .
Suriya rotey jate or Angrez ko sub kuch boley jate...Angrez ise dekhe jaraha tha or phir........ | ____________________ ____________________ ________
Last edited by F-A-L-A-K; 08-23-2006 at 01:29 PM.
|