![]() |
|
#1
| ||||
| ||||
| ye dil ye pagal dil mera kyon bujha gaya awaragi <!-- google_ad_section_end -->is dasht main ik shahar tha wo kya hua awaragi kal shab mujhe be-shakl si awaz ne chaunka diya main ne kaha tu kaun hai us ne kaha awaragi ik tu ki sadiyon se mere hamrah bhi hamraz bhi ik main k tere nam se nashna awaragi ye dard ki tanhaiyan ye dasht ka wiran safar ham log to ukta gaye apni suna awaragi ik ajnabi jhonke ne jab pucha mere gam ka sabab sahara k bhigi ret par main ne likha awaragi le ab to dasht-e-shab ki sari wusaten sone lagin ab jagna hoga hamain kab tak bata awaragi kal rat tanha chand ko dekha tha main ne khwab main 'Mohsin' mujhe ras ayegi shayad sada awaragi |
| Sponsored Links |
|
#10
| ||||
| ||||
| |