It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Woh Jo ham Mein Tum Mein Qaraar Tha, Tumhain Yaad Ho Keh Na Yaad Ho within the Ghazal forums, part of the Urdu Poetry - Shairi category; woh jo ham mein tum mein qaraar tha, tumhain yaad ho keh na yaad ho wohi waada yaani nibaah ka, ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| woh jo ham mein tum mein qaraar tha, tumhain yaad ho keh na yaad ho wohi waada yaani nibaah ka, tumhain yaad ho keh na yaad ho woh jo lutf mujh pay thaa paishtar, woh karam keh tha meray haal per mujhay sab hai yaad zara zara, tumhain yaad ho keh na yaad ho woh naye gillay, woh shikaayatain, woh mazay mazay ki hikaayatain woh her ik baat pay roothna, tumhain yaad ho keh na yaad ho koi baat aisi agar hoi keh tumhaary jee ko bura laga to bayaan say pehlay hi bolna, tumhain yaad ho keh na yaad ho kabhi ham mein tum mein bhi chaah thi, kabhi ham mein tum mein bhi raah thi kabhi ham bhi tum bhi thay aashna, tumhain yaad ho keh na yaad ho woh bigarna wasl ki raat ka, woh naa maan'na kisi baat ka woh nahi nahi ki her aan sadaa, tumhain yaad ho keh na yaad ho jisay aap gintay thay aashna, jisay aap kehtay thay baawafaa mein wohi hon MOMIN-e-mubtila, tumhain yaad ho keh na yaad ho |
|
#3
| |||||
| |||||
| jo hum mai tum ................ wow nice very nice .................... ...... Awesome Sharing!!!!!!!!!!!!! thank u
__________________ ![]() |
|
#4
| |||||
| |||||
| |
|
#5
| |||||
| |||||
| bahot jazakAllah Ali......... |
![]() |
| Thread Tools | |
| |
Similar Threads | ||||
| Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
| lab-e Khaamosh se afshaa hogaa | sameer_khan | Ghazal | 4 | 10-12-2007 03:35 PM |
| LUV IS APAIN OF HEART | EMPTY BRAIN | English Poetry | 0 | 07-30-2003 02:54 AM |
| Main Urdu Adab keh tamam members sey | ~Shani~ | Urdu Poet Club | 20 | 07-13-2003 11:51 AM |