It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on wo samne aye to nazron ko jhukaa loon gaa within the Ghazal forums, part of the Urdu Poetry - Shairi category; Hum Safar Gham Jo Mohabaat Mein Diya Hai Tumne Yeh Bhi Mujh par Bada Ehesaan Kiya Hai Tumne Ek Muddat ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| Hum Safar Gham Jo Mohabaat Mein Diya Hai Tumne Yeh Bhi Mujh par Bada Ehesaan Kiya Hai Tumne Ek Muddat Se Isi Din Ki Thi Hasarat Dil Mein Aaj Mein Khush Hun Ke Deewana Kaha Hai Tumne Jab Bhi Takarai Mere Jism Se Yeh Sh_okh Hava Mujh ko Mehsoos Hua Ke Chuaa Hai Tumne Kya Mere Dil Ke Dhadakane Ki Hi Awaaz Hai Yeh Ya Ke Phir Kaan Mein Kuch AaKe Kaha Hai Tumne Hitchkiyan Bhi Kabhi Kambhakt Nahin Aati Hai Jo Yeh Sochon Ke Mujhe Yaad Kiya Hai Tumne faysal_nice_1@yahoo. com ![]() |
|
#2
| |||||
| |||||
| wo samne aye to nazron ko jhukaa loon gaa dekhoon gaa nahi phir bhi tasweer bana loon gaa aana ho to aa jao ruswayee nahi ho gee dekhe ga nahi koi palkon main chupa loon gaa jo ham per guzarni hai ik bar guzar jaye her gham ki tarha tujh ko seene se laga loon gaa weeran agar dil ho ankhon main andhera ho yaadon ke diye apni palkon main saja loon gaa manzoor agar ho gee ruswayee teree mujh ko main beth ke sahil se toofaan utha loon gaa naraaz agar wo hain mere nasheman se, main apnay nasheman ke tinkon ko hata loon gaa kyon mujh se khafa ho ker wo door gaye baanhon main wo aa jayain main un ko mana loon gaa faysal_nice_1@yahoo. com ![]() |
|
#3
| |||||
| |||||
| Humesha muskura kay aansooun ko chupaya Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya Mehfilon main kahin bhi maza na raha Rakha dil pay pather to khud ko sajaya Baat bay baat apni aahain daba ker Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya Kya muqadar say shikwa kertey rahain Jo qismat main tha wohi kuch to paaya Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain Kay saaya-e-manzil nazar main na aaya Apnoon nay palat kay daykha tak nahin Ghairon nay aaker galay say lagaaya Acha hua kay raaz khul hi gaya Dil-e-nadaan pay khanjar kis nay chalaya Shab-o-roz chahat sila yeh hay shaiki Dil kay tukrey huay wo chunney na aaya faysal_nice_1@yahoo. com ![]() |
|
#4
| |||||
| |||||
| Usay Panay Ki Khwoish Bertey Chaly Gay Woh Inkar Pay Inkar Kartey Chaly Gay Mohabat Ka Yeh Tareeqa Anokha Hi Sahi Mein Us Say Pyar Woh Mujh Say Nafrat Karty Chaly Gay Tooti Hoi Door Say Udata Raha Patang Phir Bhi Mohabat Ki Woh Patang Udti Chaly Gay Phool Ban Kay Woh Meri Zindagi Mein Aye Khushboo Ban Kay Woh Meri Zindagi Say Chaly Gay Dil Mein Basa Kay Rakh Loon Mein Tujahy Oh Meray Yara Par Nafrat Teri Dil Barty Chaly Gay Dil Tujhay Yaad Kar Kay Roota Hai Is Tarah Teri Dooli Meray Aankhoon Kay Samanay Chali Gay faysal_nice_1@yahoo. com ![]() |
|
#5
| |||||
| |||||
| "Shaame Furqat Dhaley Hum Nahi Chahtey, Ghum Sey Fursat Miley Hum Nahi Chahtey, Phir Naya Waar Sahney Ko Tayar Hain, Tu Parishan Rahey Hum Nahi Chahtey , Aaj Ansoo Bahaney Sey Mat Rokey, Aaj Barish Thamey Hum Nahi Chahtey, Hum Terey Baad Ujrey Howey Theek Hain , Ab Kaheen Dil Lagey Hum Nahi Chahtey , Terey Pekar Ko Hum Dakhtey Hi Rahein, Tu Nazar Sey Hatey Hum Nahi Chahtey , Kis Qadar Dil Nasheen Hai Yeh Mojon Ka Shoor , Ghum Ka Darya Rukey Hum Nahi Chahtey , Iss Qadar Pyaar Sey Tu Pukara Na Kar , Aag Dil Ko Lagey Hum Nahi Chahtey , faysal_nice_1@yahoo. com ![]() |
|
#6
| |||||
| |||||
| very nice.........
__________________ tere zehan pe havee ho mere sooch is tarhan, keh tu apne zindagi ka nisaab bhool jayee |
|
#7
| |||||
| |||||
| beautiful ![]() |
|
#8
| |||||
| |||||
| Salaaammmm khub khub buhat hi umda buhat hi aalaaaa
__________________ A F S A N A |
|
#9
| |||||
|